KHudi mein kisi ko TaTola karo tum
ḳhudī meñ kisī ko TaTolā karo tum
yahī aañkh vāloñ se pūchhā karo tum
yahāñ ā.gaye ā.gaye kaise kyā ho
kabhī ḳhud ko bhī dekhā-bhālā karo tum
ye sūrat hai kyā kis ne sūrat banā.ī
zarā aap apne meñ sochā karo tum
ye kyā nahnu-aqrab kā hai jaañ meñ jalva
kabhī aañkh uThā kar to dekhā karo tum
nahīñ tum ho vo aur vo tum nahīñ ho
magar un ko apne meñ paayā karo tum
yahāñ kaun phir aa.egā ā.gaye bas
vahāñ jaane kā aaj saudā karo tum
jise tum samajhte ho vo vo hī kab hai
koī us se zāhir hai dekhā karo tum
gadā aur shah-e-ik nahīñ ek se haiñ
haqīqat ko har ik kī samjhā karo tum
faqat lan-tarānī se māyūs kyuuñ ho
zarā ainamā kā tamāsha karo tum
kisī aañkh vaale se bīnā.ī lekar
haqīqat kā har-jā nazārā karo tum
ye 'ālam hai kyā cinema yaar kā hai
miyāñ nuur ko is meñ dekhā karo tum
tum us meñ ho be-shak vo tum meñ hai lekin
khare aur khoTe ko parkhā karo tum
phir apnī hī sūrat meñ dekhoge lekin
unheñ shakl-e-‘ġhausī’ meñ dekhā karo tum
KHudi mein kisi ko TaTola karo tum
yahi aankh walon se puchha karo tum
yahan aagaye aagaye kaise kya ho
kabhi KHud ko bhi dekha-bhaala karo tum
ye surat hai kya kis ne surat banai
zara aap apne mein socha karo tum
ye kya nahnu-aqrab ka hai jaan mein jalwa
kabhi aankh uTha kar to dekha karo tum
nahin tum ho wo aur wo tum nahin ho
magar un ko apne mein paya karo tum
yahan kaun phir aaega aagaye bas
wahan jaane ka aaj sauda karo tum
jise tum samajhte ho wo wo hi kab hai
koi us se zahir hai dekha karo tum
gada aur shah-e-ik nahin ek se hain
haqiqat ko har ek ki samjha karo tum
faqat lan-tarani se mayus kyun ho
zara ainama ka tamasha karo tum
kisi aankh wale se binai lekar
haqiqat ka har-ja nazara karo tum
ye 'alam hai kya cinema yar ka hai
miyan nur ko is mein dekha karo tum
tum us mein ho be-shak wo tum mein hai lekin
khare aur khoTe ko parkha karo tum
phir apni hi surat mein dekhoge lekin
unhen shakl-e-‘ghausi’ mein dekha karo tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.