aaj wo saqi hain main mai-KHwar hun
aaj vo saaqī haiñ maiñ mai-ḳhvār huuñ
be-ḳhudī hai mast huuñ sarshār huuñ
kaif ye hai maiñ huuñ vo aur vo haiñ maiñ
goyā ḳhud saaqī huuñ aur mai-ḳhvār huuñ
dekhtā huuñ ḳhud ko bhī ab to haiñ vo
aisā mahv-e-jalva-e-dildār huuñ
jab huā ḳhālī to mujh se bhar ga.e
hañs ke bole maiñ jamāl-e-yār huuñ
vo maze pesh-e-nazar haiñ mujh meñ haiñ
kis se bolūñ tālib-e-dīdār huuñ
paañv par saaqī ke rakh detā huuñ sar
kis qadar mastī meñ bhī hushiyār huuñ
aap hī bande meñ haiñ banda-navāz
maiñ huuñ kyā ik banda-e-sarkār huuñ
sho.abada huuñ sahar huuñ mashq-e-nazar
kuchh huuñ un kā garmī-e-bāzār huuñ
aap be-parda haiñ jitnā maiñ harīs
dekhtā huuñ tālib-e-dīdār huuñ
un kā hai vo haiñ jo kuchh bhī mujh meñ hai
kushta-e-tīr-e-nigāh-e-yār huuñ
haal kyā batlā.ūñ maiñ 'ġhausī' kise
ā.īna huuñ ā.īna-ruḳhsār huuñ
aaj wo saqi hain main mai-KHwar hun
be-KHudi hai mast hun sarshaar hun
kaif ye hai main hun wo aur wo hain main
goya KHud saqi hun aur mai-KHwar hun
dekhta hun KHud ko bhi ab to hain wo
aisa mahw-e-jalwa-e-dildar hun
jab hua KHali to mujh se bhar gae
hans ke bole main jamal-e-yar hun
wo maze pesh-e-nazar hain mujh mein hain
kis se bolun talib-e-didar hun
panw par saqi ke rakh deta hun sar
kis qadar masti mein bhi hushiyar hun
aap hi bande mein hain banda-nawaz
main hun kya ek banda-e-sarkar hun
shoabada hun sahar hun mashq-e-nazar
kuchh hun un ka garmi-e-bazar hun
aap be-parda hain jitna main haris
dekhta hun talib-e-didar hun
un ka hai wo hain jo kuchh bhi mujh mein hai
kushta-e-tir-e-nigah-e-yar hun
haal kya batlaun main 'ghausi' kise
aaina hun aaina-ruKHsar hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.