nazar mein bas gai jab se wo shakl-e-jaan-e-jaan apni
nazar meñ bas ga.ī jab se vo shakl-e-jān-e-jāñ apnī
nazar aatī hai hastī saaf ye vahm-o-gumāñ apnī
jahāñ sab DhūñDte haiñ ham nahīñ paate haiñ apne ko
ḳhudā jaane ke hastī chhup ga.ī jā kar kahāñ apnī
vo bā-nām-o-nishāñ bā-vasf benām-o-nishāñ ke haiñ
haqīqat meñ to niklī zaat benām-o-nishāñ apnī
chhupe jitnā ham utnī uñgliyāñ uTThīñ taraf apnī
tamāsha dekhiye ghar ghar hai ab to dāstāñ apnī
har ik unvān se har ek lab par zikr hai apnā
ajab ye bā.is-e-shohrat huiiñ gum-nāmiyāñ apnī
ḳhalīfa ḳhalq ke ham ham hī masjūd-e-malak Thahre
be-hamdillāh sanā dekho yahāñ apnī vahāñ apnī
dil-e-majnūñ meñ hai lailā batātā hai vo mahmil ko
vo kyā jaane jo bhūle raah ḳhud hī kārvāñ apnī
jise ham DhūñDne nikle the āḳhir ham meñ vo nikle
baḌī muddat meñ āḳhir hal huī ye chīstāñ apnī
ham apne aap ko kyā kho.e 'ġhausī' ham hī haath aa.e
nazar aa.ī vahī sūrat ayaañ apnī nihāñ apnī
nazar mein bas gai jab se wo shakl-e-jaan-e-jaan apni
nazar aati hai hasti saf ye wahm-o-guman apni
jahan sab DhunDte hain hum nahin pate hain apne ko
KHuda jaane ke hasti chhup gai ja kar kahan apni
wo ba-nam-o-nishan ba-wasf benam-o-nishan ke hain
haqiqat mein to nikli zat benam-o-nishan apni
chhupe jitna hum utni ungliyan uTThin taraf apni
tamasha dekhiye ghar ghar hai ab to dastan apni
har ek unwan se har ek lab par zikr hai apna
ajab ye bais-e-shohrat huin gum-namiyan apni
KHalifa KHalq ke hum hum hi masjud-e-malak Thahre
be-hamdillah sana dekho yahan apni wahan apni
dil-e-majnun mein hai laila batata hai wo mahmil ko
wo kya jaane jo bhule rah KHud hi karwan apni
jise hum DhunDne nikle the aaKHir hum mein wo nikle
baDi muddat mein aaKHir hal hui ye chistan apni
hum apne aap ko kya khoe 'ghausi' hum hi hath aae
nazar aai wahi surat ayan apni nihan apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.