main KHud ko dekhta hun main hun to sab jahan hai
maiñ ḳhud ko dekhtā huuñ maiñ huuñ to sab jahāñ hai
jo maiñ na huuñ to a.alam ye ḳhayāl hai gumāñ hai
mujhe koī jānegā kyā mujhe maiñ hī jāntā huuñ
mirī maiñ maiñ huuñ daa.em mirā lā-makāñ makāñ hai
maiñ vajūd-e-dūsrā huuñ maiñ namūd-e-do-jahāñ huuñ
maiñ nishān-e-be-nishāñ huuñ mirā be-nishāñ nishāñ hai
maiñ zuhūr-e-nūr-e-haq huuñ maiñ shuhūd-e-abadiyat huuñ
maiñ vo huuñ ke sirr-e-maulā mirī zaat se ayaañ hai
mirā juz mere koī bhī na hijāb dūsrā hai
mirī zaat hī ayaañ hai mirī zaat hī nihāñ hai
maiñ kise batā.ūñ kyā huuñ maiñ ḳhudā huuñ yā huuñ banda
ke sifāt abd-o-rab kā mirī zaat meñ nishāñ hai
mirī maiñ vo maiñ nahīñ hai jo jahān kah rahā hai
mirī maiñ vo maiñ hai jis se ye numā.ish-e-jahñ hai
jo maiñ aap ko bhulāyā to phir aap haath aayā
kisī aur ko na paayā ye visāl kā bayāñ hai
mirī maiñ kā raaz 'ġhausī' koī mujh se aa ke pūchhe
mirī maiñ kī shaan kyā hai mirī maiñ meñ kyā nihāñ hai
main KHud ko dekhta hun main hun to sab jahan hai
jo main na hun to aalam ye KHayal hai guman hai
mujhe koi jaanega kya mujhe main hi jaanta hun
meri main main hun daem mera la-makan makan hai
main wajud-e-dusra hun main namud-e-do-jahan hun
main nishan-e-be-nishan hun mera be-nishan nishan hai
main zuhur-e-nur-e-haq hun main shuhud-e-abadiyat hun
main wo hun ke sirr-e-maula meri zat se ayan hai
mera juz mere koi bhi na hijab dusra hai
meri zat hi ayan hai meri zat hi nihan hai
main kise bataun kya hun main KHuda hun ya hun banda
ke sifat abd-o-rab ka meri zat mein nishan hai
meri main wo main nahin hai jo jahan kah raha hai
meri main wo main hai jis se ye numaish-e-jahn hai
jo main aap ko bhulaya to phir aap hath aaya
kisi aur ko na paya ye visal ka bayan hai
meri main ka raaz 'ghausi' koi mujh se aa ke puchhe
meri main ki shan kya hai meri main mein kya nihan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.