ghere hue kashti ko hai tufan bhi bhanwar bhi
ghere hue kashtī ko hai tūfāñ bhī bhañvar bhī
hāsil hai mujhe ghar bhī yahāñ lutf-e-safar bhī
jin āñkhoñ se dekhā thā idhar dekh udhar bhī
kyā chiiz hai zālim tirī duzdīda-nazar bhī
itnā hai adab āmad-e-gul-rū kā chaman meñ
ḳhāmosh haiñ baiThe hue murġhān-e-sahar bhī
bedār vo ho jaate the ġhunchoñ kī chaTak se
ab un ko jagātā nahīñ chillā ke gajar bhī
ma.amūr tasavvur se ye hai ḳhāna-e-dil aaj
is shīshe meñ tasvīr idhar bhī hai udhar bhī
laḳht-e-jigaro ashk nahīñ muue mizha par
dekho shajar-e-ḳhushk meñ gul bhī hai samar bhī
ḳhūn-e-shohadā rañg magar lā.egā ik rose
aafat koī aa jā.egī shamshīr ke sar bhī
kī mahfil-e-aġhyār meñ jhuk kar use taslīm
hañs kar kahā zinda hai abhī tū kahīñ mar bhī
lo aur suno sher mire sun ke vo bolā
aatā hai ba-juz is ke koī aur hunar bhī
kis tarh na pahlū meñ raqīboñ ko jagah de
āġhosh meñ har sañg ke hotā hai sharar bhī
tum qabr par aa.e ho mirī phuul chaḌhāne
mujh par hai girāñ sāya-e-barg-e-gul-e-tar bhī
shīshe kī tarah saaf hai itnā tan-e-nāzuk
aatā hai latāfat se nazar aks-e-nazar bhī
parvāne gire paḌte the is bazm meñ lākhoñ
sar dhuntī thī hasrat se khaḌī sham-e-sahar bhī
muTThī meñ hai dil un kī sun lo phir ye DhīThā.ī
vallāh jo ho mire farishtoñ ko ḳhabar bhī
kis shaan se vo aa.e the gul-gasht-e-chaman ko
ik raqs ke aalam meñ the murġhān-e-sahar bhī
tū vo gul-e-ra.anā hai jo aa jaa.e chaman meñ
jhūmā kareñ ik vajd ke aalam meñ shajar bhī
ārām kisī ko bhī nahīñ bahr-e-jahāñ meñ
gardish meñ jo hai mauj to chakkar meñ bhañvar bhī
thā ba.ad-e-fanā bhī ye ġhazab zo.af kā aalam
pahūñchī na vahāñ tak mire marne kī ḳhabar bhī
manzil thī adam kī ḳhas-o-ḳhāshāk se ye paak
dāman pe na rahrav ke paḌī gard-e-safar bhī
me.arāj mirī ḳhaak ne paa.ī ye havā se
qāsir hai pahuñchne se vahāñ paik-e-ḳhabar bhī
manzil adam ābād kī āsān hai utnī
raftār kī hotī nahīñ rahrav ko ḳhabar bhī
haibat hai abhī tak ye hamārī shab-e-ġham kī
kāfūr huā jaatā hai kāfūr-e-sahar bhī
ye ro.ab hai chhāyā huā shām-e-shab-e-ġham kā
detā nahīñ āvāz bajāne se gajar bhī
ahbāb mire ġhusl-o-kafan se hue fāriġh
lo ab to muhayyā hue sāmān-e-safar bhī
ghabrā ke kaho kyā kareñ ab kunj-e-lahad meñ
ham ko to yahīñ shaam bhī karnī hai sahr bhī
ai 'arsh' vo dam-ḳham vo kahāñ josh hai baaqī
ik maut hai 'taslīm' ke marne kī ḳhabar bhī
manzil adam ābād kī dushvār hai ai 'arsh'
lāzim hai musāfir ke liye zād-e-safar bhī
ghere hue kashti ko hai tufan bhi bhanwar bhi
hasil hai mujhe ghar bhi yahan lutf-e-safar bhi
jin aankhon se dekha tha idhar dekh udhar bhi
kya chiz hai zalim teri duzdida-nazar bhi
itna hai adab aamad-e-gul-ru ka chaman mein
KHamosh hain baiThe hue murghan-e-sahar bhi
bedar wo ho jate the ghunchon ki chaTak se
ab un ko jagata nahin chilla ke gajar bhi
mamur tasawwur se ye hai KHana-e-dil aaj
is shishe mein taswir idhar bhi hai udhar bhi
laKHt-e-jigaro ashk nahin mue mizha par
dekho shajar-e-KHushk mein gul bhi hai samar bhi
KHun-e-shohada rang magar laega ek rose
aafat koi aa jaegi shamshir ke sar bhi
ki mahfil-e-aghyar mein jhuk kar use taslim
hans kar kaha zinda hai abhi tu kahin mar bhi
lo aur suno sher mere sun ke wo bola
aata hai ba-juz is ke koi aur hunar bhi
kis tarh na pahlu mein raqibon ko jagah de
aaghosh mein har sang ke hota hai sharar bhi
tum qabr par aae ho meri phul chaDhane
mujh par hai giran saya-e-barg-e-gul-e-tar bhi
shishe ki tarah saf hai itna tan-e-nazuk
aata hai latafat se nazar aks-e-nazar bhi
parwane gire paDte the is bazm mein lakhon
sar dhunti thi hasrat se khaDi sham-e-sahar bhi
muTThi mein hai dil un ki sun lo phir ye DhiThai
wallah jo ho mere farishton ko KHabar bhi
kis shan se wo aae the gul-gasht-e-chaman ko
ek raqs ke aalam mein the murghan-e-sahar bhi
tu wo gul-e-rana hai jo aa jae chaman mein
jhuma karen ek wajd ke aalam mein shajar bhi
aaram kisi ko bhi nahin bahr-e-jahan mein
gardish mein jo hai mauj to chakkar mein bhanwar bhi
tha baad-e-fana bhi ye ghazab zoaf ka aalam
pahunchi na wahan tak mere marne ki KHabar bhi
manzil thi adam ki KHas-o-KHashak se ye pak
daman pe na rahraw ke paDi gard-e-safar bhi
mearaj meri KHak ne pai ye hawa se
qasir hai pahunchne se wahan paik-e-KHabar bhi
manzil adam aabaad ki aasan hai utni
raftar ki hoti nahin rahraw ko KHabar bhi
haibat hai abhi tak ye hamari shab-e-gham ki
kafur hua jata hai kafur-e-sahar bhi
ye roab hai chhaya hua sham-e-shab-e-gham ka
deta nahin aawaz bajaane se gajar bhi
ahbab mere ghusl-o-kafan se hue farigh
lo ab to muhayya hue saman-e-safar bhi
ghabra ke kaho kya karen ab kunj-e-lahad mein
hum ko to yahin sham bhi karni hai sahr bhi
ai 'arsh' wo dam-KHam wo kahan josh hai baqi
ek maut hai 'taslim' ke marne ki KHabar bhi
manzil adam aabaad ki dushwar hai ai 'arsh'
lazim hai musafir ke liye zad-e-safar bhi
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 122)
- Author : Allama Syed Zameeruddeen Ahmad
- Publication : Fine Art Press (1932)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.