maine jo aaine mein apna tajalla dekha
maiñ ne jo ā.īne meñ apnā tajallā dekhā
jab kuchh ā.īne kī hairat kā tamāsha dekhā
mujh se chhuptā hai tu kyā haañ tujhe dekhā dekhā
tū ne jis shakl se jalva kiyā vaisā dekhā
raat din safha-e-hastī kā miTātā huuñ naqsh
jab se ālam-e-fānī kā tamāsha dekhā
mahv aisā huuñ ki mujh ko nahīñ ḳhud apnī ḳhabar
kyā ye kānoñ ne sunā āñkhoñ ne kyā kyā dekhā
ham se nazroñ meñ vo kahte haiñ ki ham tum ik haiñ
dekhā dekhā mirī jaañ baat kā pardā dekhā
mujh ko saaqī ne pilāyā hai vo sāġhar 'ġhausī'
jis taraf aañkh uThī yaar kā jalvā dekhā
main ne jo aaine mein apna tajalla dekha
jab kuchh aaine ki hairat ka tamasha dekha
mujh se chhupta hai tu kya han tujhe dekha dekha
tu ne jis shakl se jalwa kiya waisa dekha
raat din safha-e-hasti ka miTata hun naqsh
jab se aalam-e-fani ka tamasha dekha
mahw aisa hun ki mujh ko nahin KHud apni KHabar
kya ye kanon ne suna aankhon ne kya kya dekha
hum se nazron mein wo kahte hain ki hum tum ek hain
dekha dekha meri jaan baat ka parda dekha
mujh ko saqi ne pilaya hai wo saghar 'ghausi'
jis taraf aankh uThi yar ka jalwa dekha
- Book : Taiyabat-e-Ghosui (Pg. 61)
- Author : Ghousi Shah
- Publication : Aazam Steam Press, Hyderabad (1952)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.