ek dam koi gar dekhe wo jalwa-e-jaanana
ik dam koī gar dekhe vo jalva-e-jānāna
mujh sā bane dīvāna mujh sā rahe mastāna
hālat pe mirī zāhid nādān tu hañstā hai
kuchh tujh pe agar guzre ban jāygā dīvānā
mastī kā mire a.alam vo hai ki maiñ hī maiñ huuñ
yaañ ḳhvesh-parastī hai apnā hai na begāna
har dam na.e jalve haiñ dam se mire a.alam meñ
har aan na.ī merī har taur judā-gāna
shāhān-e-jahāñ meñ maiñ sau shaan se huuñ 'ġhausī'
rakhtā huuñ faqīroñ meñ sau-rañg faqīrāna
ek dam koi gar dekhe wo jalwa-e-jaanana
mujh sa bane diwana mujh sa rahe mastana
haalat pe meri zahid nadan tu hansta hai
kuchh tujh pe agar guzre ban jayga diwana
masti ka mere aalam wo hai ki main hi main hun
yan KHwesh-parasti hai apna hai na begana
har dam nae jalwe hain dam se mere aalam mein
har aan nai meri har taur juda-gana
shahan-e-jahan mein main sau shan se hun 'ghausi'
rakhta hun faqiron mein sau-rang faqirana
- Book : Taiyabat-e-Ghosui (Pg. 77)
- Author : Ghousi Shah
- Publication : Aazam Steam Press, Hyderabad (1952)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.