har zaman yarab KHayal-e-chashm-e-masatana rahe
har zamāñ yārab ḳhayāl-e-chashm-e-masatāna rahe
bāda-e-vahdat rahe aur zikr-e-jānāna rahe
qulqul-e-mīnā rahe aur daur-e-paimāna rahe
dil-rubā saaqī rahe aur shor-e-mastāna rahe
tere qurbāñ sāqiyā bhar bhar ke de jām-e-tuhūr
tū salāmat ho terā ābād mai-ḳhāna rahe
tū rahe āñkhoñ meñ merī tujh ko maiñ sajda karūñ
ka.aba āñkhoñ meñ mirī Thahre na but-ḳhāna rahe
dekh kar sahrā meñ mujh ko vo ye dete haiñ duā
qais kā yārab mire ābād vīrāna rahe
mujh ko yuuñ majnūñ banāyā hai ḳhayāl-e-yār ne
ki junūñ bhī dañg ho majnūñ bhī dīvāna rahe
dast-e-sāqī ke tasadduq jaam kuchh aisā diyā
ham rahe 'ġhausī' jahāñ bhī pīr-e-mai-ḳhāna rahe
har zaman yarab KHayal-e-chashm-e-masatana rahe
baada-e-wahdat rahe aur zikr-e-jaanana rahe
qulqul-e-mina rahe aur daur-e-paimana rahe
dil-ruba saqi rahe aur shor-e-mastana rahe
tere qurban saqiya bhar bhar ke de jam-e-tuhur
tu salamat ho tera aabaad mai-KHana rahe
tu rahe aankhon mein meri tujh ko main sajda karun
kaba aankhon mein meri Thahre na but-KHana rahe
dekh kar sahra mein mujh ko wo ye dete hain dua
qais ka yarab mere aabaad virana rahe
mujh ko yun majnun banaya hai KHayal-e-yar ne
ki junun bhi dang ho majnun bhi diwana rahe
dast-e-saqi ke tasadduq jam kuchh aisa diya
hum rahe 'ghausi' jahan bhi pir-e-mai-KHana rahe
- Book : Taiyabat-e-Ghosui (Pg. 117)
- Author : Ghousi Shah
- Publication : Aazam Steam Press, Hyderabad (1952)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.