hum apne ko aaThon pahar dekhte hain
ham apne ko āThoñ pahar dekhte haiñ
hamīñ haiñ hamīñ haiñ jidhar dekhte haiñ
shajar meñ hajar meñ malak meñ bashar meñ
ham apne hī ko jalva-gar dekhte haiñ
mushāhid haiñ ruḳhsār-o-gesū ke apne
yahī rañg shām-o-sahar dekhte haiñ
hameñ khel hai maut kyā zindagī kyā
ye donoñ ko ham apne ghar dekhte haiñ
ḳhudī ko ḳhudā kā kiyā ā.īna hai
ḳhudī meñ ḳhudā kā guzar dekhte haiñ
hamīñ shakl-e-bā-chūñ hamīñ rañg-e-be-chūñ
ham ik aan meñ do-nazar dekhte haiñ
jo kho kar ḳhudī apnī ḳhud-bīñ hue haiñ
kahāñ ġhair ko ik nazar dekhte haiñ
nazar haiñ nazar haiñ nazar haiñ nazar haiñ
idhar dekhte haiñ udhar dekhte haiñ
muamma haiñ ham kyā kaheñ ḳhud ko 'ġhausī'
ḳhudā jis meñ hai vo bashar dekhte hai
hum apne ko aaThon pahar dekhte hain
hamin hain hamin hain jidhar dekhte hain
shajar mein hajar mein malak mein bashar mein
hum apne hi ko jalwa-gar dekhte hain
mushahid hain ruKHsar-o-gesu ke apne
yahi rang sham-o-sahar dekhte hain
hamein khel hai maut kya zindagi kya
ye donon ko hum apne ghar dekhte hain
KHudi ko KHuda ka kiya aaina hai
KHudi mein KHuda ka guzar dekhte hain
hamin shakl-e-ba-chun hamin rang-e-be-chun
hum ek aan mein do-nazar dekhte hain
jo kho kar KHudi apni KHud-bin hue hain
kahan ghair ko ek nazar dekhte hain
nazar hain nazar hain nazar hain nazar hain
idhar dekhte hain udhar dekhte hain
muamma hain hum kya kahen KHud ko 'ghausi'
KHuda jis mein hai wo bashar dekhte hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.