fuzun hota hai ya kam-iztirab-e-dil KHuda jaane
fuzūñ hotā hai yā kam-iztirāb-e-dil ḳhudā jaane
nigāheñ haal par rahtī haiñ mustaqbil ḳhudā jaane
abhī se uTh rahī haiñ har taraf kashtī-shikan maujeñ
havādis pesh kyā aate haiñ tā-sāhil ḳhudā jaane
adā.eñ shoḳhiyāñ husn-e-tabassum jumbish-e-abrū
pa.e ushshāq in meñ kaun hai qātil ḳhudā jaane
abhī to vādī-e-vahshat meñ hai pahlā qadam apnā
bayābāñ kitne haiñ tā-āḳhir-e-manzil ḳhudā jaane
isī ummīd par baiThe haiñ kab se un kī mahfil meñ
nigāh-e-multafit kab hogī sū-e-dil ḳhudā jaane
ba-josh-e-jazb-e-dil ham chal paḌe haiñ rāh-e-ulfat meñ
kahāñ hotī hai apnī āḳhirī manzil ḳhudā jaane
'ġhubār'-e-ḳhasta hai āvārgī kā silsila ab tak
hamārī bhī muayyan hai kui manzil ḳhudā jaane
fuzun hota hai ya kam-iztirab-e-dil KHuda jaane
nigahen haal par rahti hain mustaqbil KHuda jaane
abhi se uTh rahi hain har taraf kashti-shikan maujen
hawadis pesh kya aate hain ta-sahil KHuda jaane
adaen shoKHiyan husn-e-tabassum jumbish-e-abru
pae ushshaq in mein kaun hai qatil KHuda jaane
abhi to wadi-e-wahshat mein hai pahla qadam apna
bayaban kitne hain ta-aKHir-e-manzil KHuda jaane
isi ummid par baiThe hain kab se un ki mahfil mein
nigah-e-multafit kab hogi su-e-dil KHuda jaane
ba-josh-e-jazb-e-dil hum chal paDe hain rah-e-ulfat mein
kahan hoti hai apni aaKHiri manzil KHuda jaane
'ghubar'-e-KHasta hai aawargi ka silsila ab tak
hamari bhi muayyan hai kui manzil KHuda jaane
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.14 (Pg. 258)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.