wo abru-e-KHamdar badli hui hai
vo abrū-e-ḳhamdār badlī huī hai
diloñ kī talab-gār badlī huī hai
qadam ko milā kar chalo saath us ke
zamāne kī raftār badlī huī hai
asīroñ ke andāz nā-guftanī haiñ
salāsil kī jhanakār badlī huī hai
bisāt-e-mai-o-jām ulTī paḌī hai
ġhazab chashm-e-mai-ḳhvār badlī huī hai
hue soḳhta dil ke ḳhirman ke ḳhirman
nigāh-e-sharar-bār badal huī hai
matā-e-dil-o-jāñ kā ho kaun zāmin
nigāh-e-nigah-dār badlī huī hai
'ġhubār' ab kahāñ dīn-o-īmāñ salāmat
ki har vaz.a dīñ-dār badlī huī hai
wo abru-e-KHamdar badli hui hai
dilon ki talab-gar badli hui hai
qadam ko mila kar chalo sath us ke
zamane ki raftar badli hui hai
asiron ke andaz na-guftani hain
salasil ki jhanakar badli hui hai
bisat-e-mai-o-jam ulTi paDi hai
ghazab chashm-e-mai-KHwar badli hui hai
hue soKHta dil ke KHirman ke KHirman
nigah-e-sharar-bar badal hui hai
mata-e-dil-o-jaan ka ho kaun zamin
nigah-e-nigah-dar badli hui hai
'ghubar' ab kahan din-o-iman salamat
ki har waza din-dar badli hui hai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.14 (Pg. 258)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.