yak rang hain shama-o-parwane koi ye jaane koi wo jaane
yak rañg haiñ sham.a-o-parvāne koī ye jaane koī vo jaane
haiñ donoñ husn ke dīvāne koī ye jaane koī vo jaane
donoñ meñ ba-hasb-e-zauq nazar-e-fitrat kī bahāreñ raqsāñ haiñ
gulzār hoñ yā hoñ vīrāne koī ye jaane koī vo jaane
but-ḳhāne meñ koī nāzir ho yā jā ke haram meñ hāzir ho
jalvoñ ke haiñ donoñ kāshāne koī ye jaane koī vo jaane
haiñ ek ko gesū-e-vaj.h-e-sukūñ aur ek ko haiñ paiġhām-e-junūñ
hushiyār hoñ yā hoñ dīvāne koī ye jaane koī vo jaane
nazar ye shaiḳh-o-barhaman se tāsīs-e-kufr-o-īmāñ hai
ye ka.aba hai ye haiñ but-ḳhāne koī ye jaane koī vo jaane
jo sho.ale ġham ke bhaḌke haiñ un kī bhī ajab nauiyyat hai
gah-e-sham.a haiñ gaahe parvāne koī ye jaane koī vo jaane
hai josh-e-mauj ḳhuuñ dil meñ yā bāda-e-nāb kī tābish hai
rañgīñ haiñ shafaq ke paimāne koī ye jaane koī vo jaane
ā.īna-e-vahdat pesh-e-nazar gah-e-aks-e-jamāl-e-sifat gar
haiñ dil ke ajab hairat-ḳhāne koī ye jaane koī vo jaane
rahtā hai 'ġhubār' āvāra dair aur haram kā nazāra
un ke haiñ nirāle kāshāne koī ye jaane koī vo jaane
yak rang hain shama-o-parwane koi ye jaane koi wo jaane
hain donon husn ke diwane koi ye jaane koi wo jaane
donon mein ba-hasb-e-zauq nazar-e-fitrat ki bahaaren raqsan hain
gulzar hon ya hon virane koi ye jaane koi wo jaane
but-KHane mein koi nazir ho ya ja ke haram mein hazir ho
jalwon ke hain donon kashane koi ye jaane koi wo jaane
hain ek ko gesu-e-wajh-e-sukun aur ek ko hain paigham-e-junun
hushiyar hon ya hon diwane koi ye jaane koi wo jaane
nazar ye shaiKH-o-barhaman se tasis-e-kufr-o-iman hai
ye kaba hai ye hain but-KHane koi ye jaane koi wo jaane
jo shoale gham ke bhaDke hain un ki bhi ajab nauiyyat hai
gah-e-shama hain gahe parwane koi ye jaane koi wo jaane
hai josh-e-mauj KHun dil mein ya baada-e-nab ki tabish hai
rangin hain shafaq ke paimane koi ye jaane koi wo jaane
aaina-e-wahdat pesh-e-nazar gah-e-aks-e-jamal-e-sifat gar
hain dil ke ajab hairat-KHane koi ye jaane koi wo jaane
rahta hai 'ghubar' aawara dair aur haram ka nazara
un ke hain nirale kashane koi ye jaane koi wo jaane
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.14 (Pg. 259)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.