main kya bataun chaman mein nazar kahan pe rahi
maiñ kyā batā.ūñ chaman meñ nazar kahāñ pe rahī
kabhī guloñ pe kabhī rū-e-bāġhbāñ pe rahī
bahār meñ to nazar ko sukūñ nasīb na thā
kabhī to barq kabhī shāḳh-e-āshiyāñ pe rahī
tirī talāsh meñ jān-e-nigāh-e-āvāra
kahāñ kahāñ pe ga.ī aur kahāñ kahāñ pe rahī
na jaane kaun sī us kī adā pasand aa.ī
nigāh-e-barq jo har vaqt āshiyāñ pe rahī
na rū-e-shaiḳh haram ko kabhī nasīb huī
jo raushnī kī jhalak chehra-e-butāñ pe rahī
asar se jis ke ma.an jal bujhe the parvāne
vo baat tā-ba-sahar sham.a kī zabāñ pe rahī
main kya bataun chaman mein nazar kahan pe rahi
kabhi gulon pe kabhi ru-e-baghban pe rahi
bahaar mein to nazar ko sukun nasib na tha
kabhi to barq kabhi shaKH-e-ashiyan pe rahi
teri talash mein jaan-e-nigah-e-awara
kahan kahan pe gai aur kahan kahan pe rahi
na jaane kaun si us ki ada pasand aai
nigah-e-barq jo har waqt aashiyan pe rahi
na ru-e-shaiKH haram ko kabhi nasib hui
jo raushni ki jhalak chehra-e-butan pe rahi
asar se jis ke man jal bujhe the parwane
wo baat ta-ba-sahar shama ki zaban pe rahi
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.14 (Pg. 259)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.