duri se ajab haal hai ab dekhne aao
duurī se 'ajab haal hai ab dekhne aao
nazdīk hai DhūñDho hameñ aur aah na paao
paañv se nikālo na rah-e-'ishq meñ kāñTā
har gaam mazā us ke khaTakne kā uḌaao
yaaro ye sadā rahne kī jaagā nahīñ hargiz
kyā baiThe ho dil yaañ ke ’ilāqoñ se uThāo
kahte haiñ jise dard 'ajab shai hai azīzāñ
qismat ho jo Tuk bhī to bahut us ko baḌhāo
us daam ta.alluq se rihā hone kī 'rāsiḳh'
tadbīr yahī hai ki kahīñ dil ko phañsāo
duri se 'ajab haal hai ab dekhne aao
nazdik hai DhunDho hamein aur aah na pao
panw se nikalo na rah-e-'ishq mein kanTa
har gam maza us ke khaTakne ka uDao
yaro ye sada rahne ki jaga nahin hargiz
kya baiThe ho dil yan ke ’ilaqon se uThao
kahte hain jise dard 'ajab shai hai azizan
qismat ho jo Tuk bhi to bahut us ko baDhao
us dam talluq se riha hone ki 'rasiKH'
tadbir yahi hai ki kahin dil ko phansao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.