dil ko na kaho ki ghuncha sa hai
dil ko na kaho ki ġhuncha sā hai
ġhuncha nahīñ bāġh-e-dil-kushā hai
kaifiyateñ us kī kyā kaheñ ham
hushyārī bhī kuchh 'ajab nashā hai
behūda bahut hañsā kiye haiñ
ronā bhī ab hameñ sadā hai
ek un kī nigāh-e-āshnā ne
sab se begāna kar diyā hai
bīnā.ī hameñ nahīñ vagarna
vo jalva-farosh ḳhud-numā hai
tum jī meñ ho aur kuchh nahīñ yaañ
pūchho ho ki jī meñ tere kyā hai
'rāsiḳh' ko kahāñ hai sabr tum bin
kahte ho ki ye iftirā hai
dil ko na kaho ki ghuncha sa hai
ghuncha nahin bagh-e-dil-kusha hai
kaifiyaten us ki kya kahen hum
hushyari bhi kuchh 'ajab nasha hai
behuda bahut hansa kiye hain
rona bhi ab hamein sada hai
ek un ki nigah-e-ashna ne
sab se begana kar diya hai
binai hamein nahin wagarna
wo jalwa-farosh KHud-numa hai
tum ji mein ho aur kuchh nahin yan
puchho ho ki ji mein tere kya hai
'rasiKH' ko kahan hai sabr tum bin
kahte ho ki ye iftira hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.