chahne walon se apne yun KHafa tum kyun hue
chāhne vāloñ se apne yuuñ ḳhafā tum kyuuñ hue
dushman-e-jānī-e-arbāb-e-vafā tum kyuuñ hue
dil diyā gar us ko ham ne mat malāmat kar hameñ
un se kah nāseh ki aise dil-rubā tum kyuuñ hue
saare ḳhat shauq meñ maiñ ne yahī ro-ro likhā
haaye sāheb kyā kiyā tum ne judā tum kyuuñ hue
sard-mehrī ne tumhārī ye sitam taaza kiyā
mere hote ġhair par garm-e-jafā tum kyuuñ hue
merī hī maḳhsūs hotī kaash ye be-pardagī
ḳhaas rahnā thā ’umūman ḳhud-numā tum kyuuñ hue
morid-e-rahmat to ai 'rāsiḳh' ḳharābātī hī haiñ
mai se tauba tum ne kyuuñ kī pārsā tum kyuuñ hue
chahne walon se apne yun KHafa tum kyun hue
dushman-e-jaani-e-arbab-e-wafa tum kyun hue
dil diya gar us ko hum ne mat malamat kar hamein
un se kah naseh ki aise dil-ruba tum kyun hue
sare KHat shauq mein main ne yahi ro-ro likha
haye saheb kya kiya tum ne juda tum kyun hue
sard-mehri ne tumhaari ye sitam taza kiya
mere hote ghair par garm-e-jafa tum kyun hue
meri hi maKHsus hoti kash ye be-pardagi
KHas rahna tha ’umuman KHud-numa tum kyun hue
morid-e-rahmat to ai 'rasiKH' KHarabaati hi hain
mai se tauba tum ne kyun ki parsa tum kyun hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.