ek pari-chehra ne diwana banaya hai mujhe
ik parī-chehra ne dīvāna banāyā hai mujhe
kuchh 'ajab hosh-rubā jalva dikhāyā hai mujhe
sar-e-bāzār-e-vujūd aap se aayā nahīñ meñ
jalva dikhlāne ko apnā koī laayā hai mujhe
shukr sad-shukr ki bāzīcha-e-mā'shūq huā
gah bigāḌā hai mujhe gaah banāyā hai mujhe
'ishq meñ us ruḳh-e-ḳhandāñ kā hañsī samjhā thā
so isī vāste yuuñ un ne rulāyā hai mujhe
auj-e-daulat se sū-e-pastī-e-faqr aayā huuñ
charḳh ne aah bulandī se girāyā hai mujhe
varaq āb-zada-sā hai mirā nuskHa-e-'umar
safha-e-hastī se juuñ harf miTāyā hai mujhe
mahv aisā huuñ ki samjhā nahīñ jaatā kyā huuñ
kasrat-e-hādisa ne bas-ki miTāyā hai mujhe
garche zāhir meñ salāmat huuñ pe huuñ raakh kā Dher
ātish-e-'ishq ne parda meñ jalāyā hai mujhe
kHūbī-e-farsh samau-rād tirī hai jī se 'rāsiḳh'
ḳhaak par baiThnā jab se ki ḳhush aayā hai mujhe
ek pari-chehra ne diwana banaya hai mujhe
kuchh 'ajab hosh-ruba jalwa dikhaya hai mujhe
sar-e-bazar-e-wujud aap se aaya nahin mein
jalwa dikhlane ko apna koi laya hai mujhe
shukr sad-shukr ki bazicha-e-ma'shuq hua
gah bigaDa hai mujhe gah banaya hai mujhe
'ishq mein us ruKH-e-KHandan ka hansi samjha tha
so isi waste yun un ne rulaya hai mujhe
auj-e-daulat se su-e-pasti-e-faqr aaya hun
charKH ne aah bulandi se giraya hai mujhe
waraq aab-zada-sa hai mera nuskHa-e-'umar
safha-e-hasti se jun harf miTaya hai mujhe
mahw aisa hun ki samjha nahin jata kya hun
kasrat-e-hadisa ne bas-ki miTaya hai mujhe
garche zahir mein salamat hun pe hun rakh ka Dher
aatish-e-'ishq ne parda mein jalaya hai mujhe
kHubi-e-farsh samau-rad teri hai ji se 'rasiKH'
KHak par baiThna jab se ki KHush aaya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.