na-tawan hain ab kahan chalne ki taqat aah hai
nā-tavāñ haiñ ab kahāñ chalne kī tāqat aah hai
do qadam kī raah ham ko sau baras kī raah hai
baiTh kar bismil kī āñkhoñ meñ tamāshā us kā dekh
ye gulistān-e-jahāñ turfa-e-shahādat-gāh hai
terā ai dāmān-e-vasl-e-yār is meñ kyā qusūr
haath baḳht-e-nā-rasā kā apne hī kotāh hai
chhoḌ dī kyā jald tāqat ne rifāqat merī aah
zo.af se ḳhush huuñ ki marte tak mire hamrāh hai
hosh vaale mahram-e-rāz us ke ai 'rāsiḳh' nahīñ
kahte haiñ jo be-ḳhabar hai kuchh vahī āgāh hai
na-tawan hain ab kahan chalne ki taqat aah hai
do qadam ki rah hum ko sau baras ki rah hai
baiTh kar bismil ki aankhon mein tamasha us ka dekh
ye gulistan-e-jahan turfa-e-shahadat-gah hai
tera ai daman-e-wasl-e-yar is mein kya qusur
hath baKHt-e-na-rasa ka apne hi kotah hai
chhoD di kya jald taqat ne rifaqat meri aah
zoaf se KHush hun ki marte tak mere hamrah hai
hosh wale mahram-e-raaz us ke ai 'rasiKH' nahin
kahte hain jo be-KHabar hai kuchh wahi aagah hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.