meri hasraten dil mein ghabraatiyan hain
meri hasraten dil mein ghabraatiyan hain
Ghulam Naqshband Sajjad
MORE BYGhulam Naqshband Sajjad
merī hasrateñ dil meñ ghabrātiyāñ haiñ
nikalne kī rāheñ nahīñ pātiyāñ haiñ
terī mast āñkhoñ kī ye putliyāñ to
tamāshā qiyāmat kā dikhlātiyāñ haiñ
udhar badliyāñ haiñ udhar merī āñkheñ
vo paanī to ye ashk barsātiyāñ haiñ
ḳhudārā batā deñ tū Tuk ham ko sāñseñ
kahāñ ātiyāñ haiñ kahāñ jātiyāñ haiñ
nahīñ jo ki tīr-e-balā kā nishāna
faqat ahl-e-dil hī kī vo chhātiyāñ haiñ
muā jaa.e 'sajjād' hai jin ke ġham meñ
vo shakleñ nigāhoñ meñ kyuuñ ātiyāñ haiñ
meri hasraten dil mein ghabraatiyan hain
nikalne ki rahen nahin patiyan hain
teri mast aankhon ki ye putliyan to
tamasha qiyamat ka dikhlatiyan hain
udhar badliyan hain udhar meri aankhen
wo pani to ye ashk barsatiyan hain
KHudara bata den tu Tuk hum ko sansen
kahan aatiyan hain kahan jatiyan hain
nahin jo ki tir-e-bala ka nishana
faqat ahl-e-dil hi ki wo chhatiyan hain
mua jae 'sajjad' hai jin ke gham mein
wo shaklen nigahon mein kyun aatiyan hain
- Book : Al-Mujeeb, Phulwari Sharif (Pg. 12)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.