gilā kyā karūñ ai falak batā mere haq meñ jab ye jahāñ nahīñ
gilā kyā karūñ ai falak batā mere haq meñ jab ye jahāñ nahīñ
Gurbachan Singh Dayal
MORE BYGurbachan Singh Dayal
gilā kyā karūñ ai falak batā mire haq meñ jab ye jahāñ nahīñ
kahūñ kaise hāl-e-dil un se maiñ mirī hiltī tak ye zabāñ nahīñ
ye bhañvar haiñ bahr-e-hayāt ke maiñ huuñ ḳhasta-hāl-o-shikasta-o-dil
mirī Dagmagātī hai naav ab kahīñ miltā mujh ko karāñ nahīñ
tujhe DhūñDūñ bhī to kahāñ ki jab huuñ maiñ ḳhud hī zulmat-e-yās meñ
mujhe bazm-e-hastī meñ mil sakā tere naqsh-e-pā kā nishāñ nahīñ
ġham-e-dil hī merā nikāl do mirī zindagī se jo tum agar
to vo dāstāñ hī kuchh aur hai mire hāl-e-dil kā bayāñ nahīñ
maiñ sunā.ūñ kis ko ye hāl-e-dil maiñ dikhā.ūñ kis ko ye dard-o-ġham
maiñ huuñ aisī hālat-e-zār meñ ki ḳhud apnā mujh ko gumāñ nahīñ
nahīñ giit bāda-o-jām ke yahāñ aur hī koī baat hai
ki maiñ jis balā meñ huuñ mubtalā vo balā-e-ishq-e-butāñ nahīñ
tū hai zarre zarre meñ zau-fishāñ nahīñ miltā phir bhī kahīñ nishāñ
koī 'shaġhl' ab ye batā.e kyā tū kahāñ hai aur kahāñ nahīñ
gilā kyā karūñ ai falak batā mere haq meñ jab ye jahāñ nahīñ
kahūñ kaise hāl-e-dil un se maiñ mirī hiltī tak ye zabāñ nahīñ
ye bhañwar haiñ bahr-e-hayāt ke maiñ huñ ḳhasta-hāl-o-shikasta-o-dil
mirī Dagmagātī hai naw ab kahīñ miltā mujh ko karāñ nahīñ
tujhe DhūñDūñ bhī to kahāñ ki jab huñ maiñ ḳhud hī zulmat-e-yās meñ
mujhe bazm-e-hastī meñ mil sakā tere naqsh-e-pā kā nishāñ nahīñ
ġham-e-dil hī merā nikāl do mirī zindagī se jo tum agar
to wo dāstāñ hī kuchh aur hai mere hāl-e-dil kā bayāñ nahīñ
maiñ sunāūñ kis ko ye hāl-e-dil maiñ dikhāūñ kis ko ye dard-o-ġham
maiñ huñ aisī hālat-e-zār meñ ki ḳhud apnā mujh ko gumāñ nahīñ
nahīñ git bāda-o-jām ke yahāñ aur hī koī baat hai
ki maiñ jis balā meñ huñ mubtalā wo balā-e-ishq-e-butāñ nahīñ
tū hai zarre zarre meñ zau-fishāñ nahīñ miltā phir bhī kahīñ nishāñ
koī 'shaġhl' ab ye batāe kyā tū kahāñ hai aur kahāñ nahīñ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.