go ahl-e-wafa se wo sitamgar nahin milta
go ahl-e-vafā se vo sitamgar nahīñ miltā
ye shukr hai ġhairoñ se bhī aksar nahīñ miltā
ye ḳham nahīñ miltā hai ye jauhar nahīñ miltā
abrū se tumhāre koī ḳhanjar nahīñ miltā
ab baar hai sar dosh par ai shauq-e-shahādat
lillāh batā de vo sitam-gar nahīñ miltā
dil kyā hai jo us zulf se jā kar palaT aa.e
insān usī kūcha meñ kho kar nahīñ miltā
jab tak na mile vo to koī kyā use paa.e
hairat kī to ye baat hai mil kar nahīñ miltā
kyā kahte haiñ mumkin nahīñ allāh kā milnā
tum DhūñD ke dekho bhī to kyuuñ kar nahīñ miltā
haath aa.egā kis tarah se vo gauhar-e-yaktā
dariyā-e-mohabbat kā shanāvar nahīñ miltā
milte haiñ kahīñ kho.e hue raah talab ke
ham DhūñD rahe haiñ hameñ 'akbar' nahīñ miltā
go ahl-e-wafa se wo sitamgar nahin milta
ye shukr hai ghairon se bhi aksar nahin milta
ye KHam nahin milta hai ye jauhar nahin milta
abru se tumhaare koi KHanjar nahin milta
ab bar hai sar dosh par ai shauq-e-shahadat
lillah bata de wo sitam-gar nahin milta
dil kya hai jo us zulf se ja kar palaT aae
insan usi kucha mein kho kar nahin milta
jab tak na mile wo to koi kya use pae
hairat ki to ye baat hai mil kar nahin milta
kya kahte hain mumkin nahin allah ka milna
tum DhunD ke dekho bhi to kyun kar nahin milta
hath aaega kis tarah se wo gauhar-e-yakta
dariya-e-mohabbat ka shanawar nahin milta
milte hain kahin khoe hue rah talab ke
hum DhunD rahe hain hamein 'akbar' nahin milta
- Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 33)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Shaukat Shahjehani, Agra (1896)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.