duaen mangin hain muddaton tak jhuka ke sar hath uTha-uTha kar
duaen mangin hain muddaton tak jhuka ke sar hath uTha-uTha kar
Faqeer Muhammad Goya
MORE BYFaqeer Muhammad Goya
duā.eñ māñgīñ haiñ muddatoñ tak jhukā ke sar haath uThā-uThā kar
huā huuñ tab maiñ butoñ kā banda ḳhudā-ḳhudā kar ḳhudā-ḳhudā kar
dikhāyā vahdat ne apnā jalva-duī kā parda uThā-uThā kar
karūñ maiñ sajda butoñ ke aage tū ai barahman ḳhudā-ḳhudā kar
kahāñ vo shakleñ kahāñ vo bāteñ kahāñ vo jalse kahāñ vo mahfil
ye sab kā sab ḳhvāb kā thā sāmāñ chhipā liyā bas dikhā-dikhā kar
jo pahuñcheñ ham murġh-e-nāma-bar ko to chuTkiyoñ meñ use uḌā de
agarche vo tifl kheltā hai par kabūtar uḌā-uḌā kar
kabhī mire dil se kartī haiñ bal kabhī haiñ shāne se vo ulajhtī
ġharaz ki zulfoñ ko tū ne zālim bigāḌā hai sar chaḌhā-chaḌhā kar
dikhā ke gul se ’ezār tū ne kiyā dil-e-’āshiqāñ ko bulbul
banā diye gosh-e-ġhairat-e-gul sadā-e-rañgīñ sunā-sunā kar
gunāh karatā hai barmalā tū kisī se karatā nahīñ hayā tū
ḳhudā ko kyā muñh dikhā.egā tū zarā tū ai be-hayā hayā kar
kiyā hai poshīda 'ishq ham ne kisī se dar-parda hai mohabbat
paḌe hue bistar-e-alam par jo rote haiñ muñh chupā-chupā kar
tirā sā qad ban sakā na hargiz tirī sī sūrat na ban sakī phir
agarche sāne.a ne lākhoñ naqshe bigāḌ Daale banā-banā kar
kaTī hai 'goyā' shab-e-javānī ab aan pahuñchī hai sub.h-e-pīrī
bahut sī kī tū ne but-parastī ab ek-do din ḳhudā-ḳhudā kar
duaen mangin hain muddaton tak jhuka ke sar hath uTha-uTha kar
hua hun tab main buton ka banda KHuda-KHuda kar KHuda-KHuda kar
dikhaya wahdat ne apna jalwa-dui ka parda uTha-uTha kar
karun main sajda buton ke aage tu ai barahman KHuda-KHuda kar
kahan wo shaklen kahan wo baaten kahan wo jalse kahan wo mahfil
ye sab ka sab KHwab ka tha saman chhipa liya bas dikha-dikha kar
jo pahunchen hum murgh-e-nama-bar ko to chuTkiyon mein use uDa de
agarche wo tifl khelta hai par kabutar uDa-uDa kar
kabhi mere dil se karti hain bal kabhi hain shane se wo ulajhti
gharaz ki zulfon ko tu ne zalim bigaDa hai sar chaDha-chaDha kar
dikha ke gul se ’ezar tu ne kiya dil-e-’ashiqan ko bulbul
bana diye gosh-e-ghairat-e-gul sada-e-rangin suna-suna kar
gunah karata hai barmala tu kisi se karata nahin haya tu
KHuda ko kya munh dikhaega tu zara tu ai be-haya haya kar
kiya hai poshida 'ishq hum ne kisi se dar-parda hai mohabbat
paDe hue bistar-e-alam par jo rote hain munh chupa-chupa kar
tera sa qad ban saka na hargiz teri si surat na ban saki phir
agarche sanea ne lakhon naqshe bigaD Dale bana-bana kar
kaTi hai 'goya' shab-e-jawani ab aan pahunchi hai subh-e-piri
bahut si ki tu ne but-parasti ab ek-do din KHuda-KHuda kar
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 8)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.