aae wo ban-sanwar ke bahaaron ke darmiyan
aa.e vo ban-sañvar ke bahāroñ ke darmiyāñ
jaise muhīt-e-chāñd ho tāroñ ke darmiyāñ
kis ne hamārī laash ko manzil pe lā diyā
aa.ī thī jab ke maut ġhubāroñ ke darmiyāñ
sāhil pe aake Duub ga.ī kashtī-e-hayāt
ġharqāb jo na ho sakī dhāroñ ke darmiyāñ
maiñ bhī to khil rahā huuñ isī tarah dosto
jaise koī gulāb ho ḳhāroñ ke darmiyāñ
merī bhī to misāl hai sham.a se kam nahīñ
jaltā huuñ be-sahārā sahāroñ ke darmiyāñ
'hairat' dimāġh arsh-e-barīñ par pahuñch gayā
dekhā jo ḳhud ko chāñd sitāroñ ke darmiyāñ
aae wo ban-sanwar ke bahaaron ke darmiyan
jaise muhit-e-chand ho taron ke darmiyan
kis ne hamari lash ko manzil pe la diya
aai thi jab ke maut ghubaron ke darmiyan
sahil pe aake Dub gai kashti-e-hayat
gharqab jo na ho saki dhaaron ke darmiyan
main bhi to khil raha hun isi tarah dosto
jaise koi gulab ho KHaron ke darmiyan
meri bhi to misal hai shama se kam nahin
jalta hun be-sahaara sahaaron ke darmiyan
'hairat' dimagh arsh-e-barin par pahunch gaya
dekha jo KHud ko chand sitaron ke darmiyan
- Book : Sukhanwaraan-e-Watan (Pg. 193)
- Author : Riyaz Gayavi
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.