Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

dikha kar mujhko chashm-e-mast mastana bana Dala

Aafaq Banarasi

dikha kar mujhko chashm-e-mast mastana bana Dala

Aafaq Banarasi

MORE BYAafaq Banarasi

    dikhā kar mujh ko chashm-e-mast mastāna banā Daalā

    pilā kar aaj saaqī ne dīvāna banā Daalā

    qiyām-e-yād ḳhūbāñ ko taraqqī de ḳhudā us ne

    mire ujḌe hue dil ko parī-ḳhāna banā Daalā

    dil sad chaak merā thā bhalā kis kaam ke qābil

    magar ik shoḳh ne le kar use shānā banā Daalā

    zarar pahuñchā na mai-ḳhāne ko kuchh sañg-e-havādis se

    agar TuuTī koī botal to paimāna banā Daalā

    ġhazab jaadū bharī hotī haiñ āñkheñ husn vāloñ

    nazar jis se milā.ī us ko dīvāna banā Daalā

    tamannā vasl dil se jo niklī ye ḳhayāl aayā

    ki ik ābād ghar ko haaye vīrāna banā Daalā

    vo mai-kash huuñ ki har dam shīsha-o-sāġhar hai saath apne

    jahāñ baiThā vahīñ par ek mai-ḳhāna banā Daalā

    kHayāl-e-bada-noshī furqat-e-sāqī meñ jab aayā

    banāyā dil ko ḳhum āñkhoñ ko paimāna banā Daalā

    ḳhudā ke fazl se āfāq thā farzāna-o-āqil

    navāzish butoñ ne us ko dīvāna banā Daalā

    dikha kar mujh ko chashm-e-mast mastana bana Dala

    pila kar aaj saqi tu ne diwana bana Dala

    qiyam-e-yaad KHuban ko taraqqi de KHuda us ne

    mere ujDe hue dil ko pari-KHana bana Dala

    dil sad chaak mera tha bhala kis kaam ke qabil

    magar ek shoKH ne le kar use shana bana Dala

    zarar pahuncha na mai-KHane ko kuchh sang-e-hawadis se

    agar TuTi koi botal to paimana bana Dala

    ghazab jadu bhari hoti hain aankhen husn walon ki

    nazar jis se milai us ko diwana bana Dala

    tamanna wasl ki dil se jo nikli ye KHayal aaya

    ki ek aabaad ghar ko haye virana bana Dala

    wo mai-kash hun ki har dam shisha-o-saghar hai sath apne

    jahan baiTha wahin par ek mai-KHana bana Dala

    kHayal-e-bada-noshi furqat-e-saqi mein jab aaya

    banaya dil ko KHum aankhon ko paimana bana Dala

    KHuda ke fazl se aafaq tha farzana-o-aqil

    nawazish ki buton ne us ko diwana bana Dala

    Source :
    • Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.III (Pg. 55)
    • Author : Irfan Abbasi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now