bas-ki DhunDe ahl-e-dil mil un se sahab-e-dil hua
bas-ki DhunDe ahl-e-dil mil un se sahab-e-dil hua
Ghulam Ali Rasikh
MORE BYGhulam Ali Rasikh
bas-ki DhūñDe ahl-e-dil mil un se sāhab-e-dil huā
jab phirā maiñ barsoñ tab ye aabla hāsil huā
vo gadā dalq-e-kuhan meñ jis ke sau paivand thā
jā sikandar us se haf-iqlīm kā saa.el huā
dekh majnūñ ke ta.iiñ Tuk aur bār-e-ishq dekh
saḳht hairānī hai tinkā koh kā hāmil huā
ibtidā-e-ishq hī meñ be-tahī kī shauq ne
dil merā siina meñ par be-tāb-o-mustājil huā
imtihāñ maḳhsūs ḳhāsāñ hai to rāsiḳh shukr kar
yaar tere āzmāne kī taraf maa.il huā
bas-ki DhunDe ahl-e-dil mil un se sahab-e-dil hua
jab phira main barson tab ye aabla hasil hua
wo gada dalq-e-kuhan mein jis ke sau paiwand tha
ja sikandar us se haf-iqlim ka sael hua
dekh majnun ke tain Tuk aur bar-e-ishq dekh
saKHt hairani hai tinka koh ka hamil hua
ibtida-e-ishq hi mein be-tahi ki shauq ne
dil mera sina mein par be-tab-o-mustajil hua
imtihan maKHsus KHasan hai to rasiKH shukr kar
yar tere aazmane ki taraf mail hua
- Book : Bihar men Urdu ki Sufiyana Shairi (Pg. 141)
- Author :Mohammad Tayyab Abdali
- Publication : Israr Karimi Press Allahabad (1988)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.