muddaa aalam se apna hi faqat didar tha
mudda.ā a.alam se apnā hī faqat dīdār thā
diid ko apnī ye ā.īna use darkār thā
dil se aage kyuuñ baḌhā tū ai talab-gār-e-visāl
phir udhar hī to vahī ghar jalva-gāh-e-yār thā
dil havas vāloñ ke mahrūm us ke partav se rahe
jalva-gāh-e-dāġh-e-janāñ sīnā-e-abrār thā
muddaa aalam se apna hi faqat didar tha
did ko apni ye aaina use darkar tha
dil se aage kyun baDha tu ai talab-gar-e-visal
phir udhar hi to wahi ghar jalwa-gah-e-yar tha
dil hawas walon ke mahrum us ke partaw se rahe
jalwa-gah-e-dagh-e-janan sina-e-abrar tha
- Book : Bihar men Urdu ki Sufiyana Shairi (Pg. 143)
- Author :Mohammad Tayyab Abdali
- Publication : Israr Karimi Press Allahabad (1988)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.