guloñ kī chaah meñ aa.e the ḳhaar le ke chale
chaman se ham ġham-e-fasl-e-bahār le ke chale
shamīm-e-gul se mirā dil nahīñ bahaltā ab
kaho sabā se ki ḳhushbu-e-yār le ke chale
havā ke jhoñke ḳhudā jaane jā rahe haiñ kidhar
kahāñ ye mere garebāñ ke taar le ke chale
hai baat kyā jo tire mai-kade se bhī saaqī
malāl-e-tishna-labī bāda-ḳhvār le ke chale
ham un kī bazm meñ pahuñche to the tahī-dāman
chale to rahmat-e-parvardigār le ke chale
farāz arsh nazar aa rahā thā zer-e-qadam
hameñ jab ahl-e-sitam sū-e-dār le ke chale
rah-e-hayāt meñ hai kāmrāñ vahī 'kashfī'
jo apne dosh pe auroñ kā baar le ke chale
gulon ki chah mein aae the KHar le ke chale
chaman se hum gham-e-fasl-e-bahaar le ke chale
shamim-e-gul se mera dil nahin bahalta ab
kaho saba se ki KHushbu-e-yar le ke chale
hawa ke jhonke KHuda jaane ja rahe hain kidhar
kahan ye mere gareban ke tar le ke chale
hai baat kya jo tere mai-kade se bhi saqi
malal-e-tishna-labi baada-KHwar le ke chale
hum un ki bazm mein pahunche to the tahi-daman
chale to rahmat-e-parwardigar le ke chale
faraaz arsh nazar aa raha tha zer-e-qadam
hamein jab ahl-e-sitam su-e-dar le ke chale
rah-e-hayat mein hai kaamran wahi 'kashfi'
jo apne dosh pe auron ka bar le ke chale
Source :
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 263)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.