gulshan mein ja ke dagh-e-jigar jab dikha diya
gulshan meñ jā ke dāġh-e-jigar jab dikhā diyā
phūloñ ko ham ne paikar-e-hairat banā diyā
khilne lagī agar koī ummīd kī kalī
barq-e-alam taḌap ke girī aur jalā diyā
uf-re karishma-hā-e-ḳhayāl-e-jamāl-e-dost
har shai ne un kā ruup badal kar dikhā diyā
maiñ huuñ vo rahrav-e-rah-e-ulfat ke zo.af meñ
jab gir paḌā to dard-e-jigar ne uThā diyā
vāqif haiñ rāz-e-ishq se ahl-e-chaman ki gul
sun kar mirā afsāna-e-ġham muskurā diyā
gulshan mein ja ke dagh-e-jigar jab dikha diya
phulon ko hum ne paikar-e-hairat bana diya
khilne lagi agar koi ummid ki kali
barq-e-alam taDap ke giri aur jala diya
uf-re karishma-ha-e-KHayal-e-jamal-e-dost
har shai ne un ka rup badal kar dikha diya
main hun wo rahraw-e-rah-e-ulfat ke zoaf mein
jab gir paDa to dard-e-jigar ne uTha diya
waqif hain raaz-e-ishq se ahl-e-chaman ki gul
sun kar mera afsana-e-gham muskura diya
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 187)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.