ghurur-e-ulfat ki tarz-e-nazish ajab karishme dikha rahi hai
ghurur-e-ulfat ki tarz-e-nazish ajab karishme dikha rahi hai
Muztar Khairabadi
MORE BYMuztar Khairabadi
ġhurūr-e-ulfat kī tarz-e-nāzish ajab karishme dikhā rahī hai
hamārī rūThī huī nazar ko tirī tajallī manā rahī hai
vo tuur vaalī tirī tajallī ġhazab kī garmī dikhā rahī hai
vahāñ to patthar jalā diye the yahāñ kaleja jalā rahī hai
mire nasheman meñ shān-e-qudrat ke saare asbāb haiñ muhayyā
havā safā.ī pe hai muqarrar charāġh bijlī jalā rahī hai
na us ke dāman se maiñ hī uljhā na mere dāman se ye bhī aTkī
havā se merā bigāḌ kyā hai jo sham-e-turbat bujhā rahī hai
farishte aa.e agar lahad meñ to saaf kah dūñgā rāsta lo
jab us kī chāhat meñ jaan de dī to baat kahne kī kyā rahī hai
jamāl-e-qudrat mujhī ko de de ki maiñ kaleje kī choT sekūñ
kalīm ke ghar meñ rakhe rakhe vo aag ab kyā banā rahī hai
tū ai mohabbat gavāh rahnā ki tere 'muztar' ko vaqt-e-āḳhir
ḳhayāl-e-tark-e-ḳhudī rahā hai to dil meñ yād-e-ḳhudā rahī hai
ghurur-e-ulfat ki tarz-e-nazish ajab karishme dikha rahi hai
hamari ruThi hui nazar ko teri tajalli mana rahi hai
wo tur wali teri tajalli ghazab ki garmi dikha rahi hai
wahan to patthar jala diye the yahan kaleja jala rahi hai
mere nasheman mein shan-e-qudrat ke sare asbab hain muhayya
hawa safai pe hai muqarrar charagh bijli jala rahi hai
na us ke daman se main hi uljha na mere daman se ye bhi aTki
hawa se mera bigaD kya hai jo sham-e-turbat bujha rahi hai
farishte aae agar lahad mein to saf kah dunga rasta lo
jab us ki chahat mein jaan de di to baat kahne ki kya rahi hai
jamal-e-qudrat mujhi ko de de ki main kaleje ki choT sekun
kalim ke ghar mein rakhe rakhe wo aag ab kya bana rahi hai
tu ai mohabbat gawah rahna ki tere 'muztar' ko waqt-e-aKHir
KHayal-e-tark-e-KHudi raha hai to dil mein yaad-e-KHuda rahi hai
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 77)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.