Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

nigahon se nihan rakhta hai aalam-e-na-tawani ka

Hadi Hasan Khan

nigahon se nihan rakhta hai aalam-e-na-tawani ka

Hadi Hasan Khan

MORE BYHadi Hasan Khan

    nigāhoñ se nihāñ rakhtā hai a.alam-e-nā-tavānī

    bajā hai gar kareñ ab ham bhī da.avā lan-tarānī

    haaye kuchh kar na sake duniyā meñ

    baḳhshish-e-roz-e-jazā ke qābil

    paa.ī insān ne amānat kaisī

    jo na thī arz-o-samā ke qābil

    zer-e-zamīñ to rañj-o-alam gumāñ nahīñ

    sar par vahāñ zamīñ hai kuchh āsmāñ nahīñ

    arbāb-e-jāh pas-e-murdan kahāñ qalaq

    rotā hai kaun qaisar-o-faġhfūr ke liye

    nigahon se nihan rakhta hai aalam-e-na-tawani ka

    baja hai gar karen ab hum bhi dawa lan-tarani ka

    haye kuchh kar na sake duniya mein

    baKHshish-e-roz-e-jaza ke qabil

    pai insan ne amanat kaisi

    jo na thi arz-o-sama ke qabil

    zer-e-zamin to ranj-o-alam ka guman nahin

    sar par wahan zamin hai kuchh aasman nahin

    arbab-e-jah ka pas-e-murdan kahan qalaq

    rota hai kaun qaisar-o-faghfur ke liye

    Source :
    • Book : Tazkira Muslim Mashaaheer-e-Vaishali Voll.I (Pg. 104)
    • Author : Mohammad Sanaul-Huda ‘Qasmi’
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now