hasil-e-’ishq gham-e-dil ke siwa kuchh bhi nahin
hasil-e-’ishq gham-e-dil ke siwa kuchh bhi nahin
Maikash Akbarabadi
MORE BYMaikash Akbarabadi
hāsil-e-’ishq ġham-e-dil ke sivā kuchh bhī nahīñ
aur agar hai to sab un kā hai mirā kuchh bhī nahīñ
jis pe buniyād tamannā kī rakhī hai dil ne
un ke andāz-e-taḳhātub ke sivā kuchh bhī nahīñ
kar diyā mast merī jur.at-e-rindī ne mujhe
varna tere lab-e-rañgīñ kā mazā kuchh bhī nahīñ
jo ḳhudā de to baḌī chiiz hai ehsās-e-jamāl
lekin is raah meñ Thokar ke sivā kuchh bhī nahīñ
maiñ na dekhūñ to tire husn kī qīmat kyā hai
maiñ na taḌpūñ to ye andāz-e-jafā kuchh bhī nahīñ
is adā se mujhe barbād kiyā hai us ne
ki gayā kuchh bhī nahīñ aur rahā kuchh bhī nahīñ
vaqt ke saath badal jaatī hai duniyā 'maikash'
jis pe ham jiite the vo 'ahd-e-vafā kuchh bhī nahīñ
hasil-e-’ishq gham-e-dil ke siwa kuchh bhi nahin
aur agar hai to sab un ka hai mera kuchh bhi nahin
jis pe buniyaad tamanna ki rakhi hai dil ne
un ke andaz-e-taKHatub ke siwa kuchh bhi nahin
kar diya mast meri jurat-e-rindi ne mujhe
warna tere lab-e-rangin ka maza kuchh bhi nahin
jo KHuda de to baDi chiz hai ehsas-e-jamal
lekin is rah mein Thokar ke siwa kuchh bhi nahin
main na dekhun to tere husn ki qimat kya hai
main na taDpun to ye andaz-e-jafa kuchh bhi nahin
is ada se mujhe barbaad kiya hai us ne
ki gaya kuchh bhi nahin aur raha kuchh bhi nahin
waqt ke sath badal jati hai duniya 'maikash'
jis pe hum jite the wo 'ahd-e-wafa kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.