hasil hai mere ashk ka hirman kahen jise
hāsil hai mere ashk kā hirmāñ kaheñ jise
saaya hai vo mirā shab-e-hijrāñ kaheñ jise
ai rashk-e-mahr jalva tirā hai nigāh-e-soz
parda tirā hai āriz-e-tābāñ kaheñ jise
mujh ko ki muddatoñ pe qafas se rihā huā
sub.h-e-vatan hai shām-e-ġharībāñ kaheñ jise
ḳhūgar huuñ mushkiloñ kā ummīd-e-visāl meñ
dushvār mujh pe hai vahī āsāñ kaheñ jise
ḳhush huuñ junūñ se ki vo karte haiñ iltifāt
hai sub.h ii.d chāk-e-garebāñ kaheñ jise
sa.ī talab meñ surma karūñ chashm-e-shauq kā
vo ik kaf-e-ġhubār bayābāñ kaheñ jise
jalva ko tere hashr kā kyuuñ intizār hai
jalva tirā hai hashr kā sāmāñ kaheñ jise
kar ġharq bahr-e-ishq ki kaafī nahii. mujhe
hammām garm dozaḳh-e-sozāñ kaheñ jise
vo ġham-sarisht huuñ ki hai ishrat-kada mirā
is se pare ki rauza-e-rizvāñ kaheñ jise
'sūfī' batā.e manzil-e-jānāñ kī raah ko
ab chup hai vo jaras dil-e-nālāñ kaheñ jise
hasil hai mere ashk ka hirman kahen jise
saya hai wo mera shab-e-hijran kahen jise
ai rashk-e-mahr jalwa tera hai nigah-e-soz
parda tera hai aariz-e-taban kahen jise
mujh ko ki muddaton pe qafas se riha hua
subh-e-watan hai sham-e-ghariban kahen jise
KHugar hun mushkilon ka ummid-e-visal mein
dushwar mujh pe hai wahi aasan kahen jise
KHush hun junun se ki wo karte hain iltifat
hai subh id chaak-e-gareban kahen jise
sai talab mein surma karun chashm-e-shauq ka
wo ek kaf-e-ghubar bayaban kahen jise
jalwa ko tere hashr ka kyun intizar hai
jalwa tera hai hashr ka saman kahen jise
kar gharq bahr-e-ishq ki kafi nahi mujhe
hammam garm dozaKH-e-sozan kahen jise
wo gham-sarisht hun ki hai ishrat-kada mera
is se pare ki rauza-e-rizwan kahen jise
'sufi' batae manzil-e-jaanan ki rah ko
ab chup hai wo jaras dil-e-nalan kahen jise
- Book : Bihar men Urdu ki Sufiyana Shairi (Pg. 169)
- Author :Mohammad Tayyab Abdali
- Publication : Israr Karimi Press Allahabad (1988)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.