hath aa jāeñge do-chaar jahan aur tere
haath aa jā.eñge do-chār jahāñ aur tere
bas zarā vaqt se raftār ziyāda kar le
zabt kī āḳhirī had par dil-e-bismil se kahā
jaañ ba-lab hai to zarā shor-sharāba kar le
bādaloñ se tirī yaarī hai to kis baat kā Dar
ek dariyā ne jo karnā hai kināra kar le
aañkh kahtī hai ke dīdār hī kaafī hai magar
dil ye kahtā hai koī kaam anokhā kar le
kaun dekhegā mohabbat hai ye ḳhālis kitnī
duudh meñ paanī milā aur ziyāda kar le
saañp yādoñ ke jo shab-bhar mujhe Daste haiñ 'jamāl'
kaash qabze meñ unheñ koī saperā kar le
hath aa jāeñge do-chaar jahan aur tere
bas zara waqt se raftar ziyaada kar le
zabt ki aaKHiri had par dil-e-bismil se kaha
jaan ba-lab hai to zara shor-sharaba kar le
baadalon se teri yari hai to kis baat ka Dar
ek dariya ne jo karna hai kinara kar le
aankh kahti hai ke didar hi kafi hai magar
dil ye kahta hai koi kaam anokha kar le
kaun dekhega mohabbat hai ye KHalis kitni
dudh mein pani mila aur ziyaada kar le
sanp yaadon ke jo shab-bhar mujhe Daste hain 'jamal'
kash qabze mein unhen koi sapera kar le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.