hangama hai kyun barpa waris ne jo mai di hai
hangama hai kyun barpa waris ne jo mai di hai
Habibullah Saghar Warsi
MORE BYHabibullah Saghar Warsi
Interesting Fact
منقبت درشان حاجی وارث علی شاہ (دیوہ-بارہ بنکی)
hañgāma hai kyuuñ barpā vāris ne jo mai dī hai
jannat meñ jo miltī hai vo mujh ko pilā.ī hai
hūreñ liye phirtī haiñ jin ke liye gul-daste
allāh kī qasam vo vāris terī hastī hai
sañg dar vāris pe sajde se jo sajāte haiñ
un kā hai ḳhudā un kā un kī hī ḳhudā.ī hai
vo itne qarīb aa.e ham ḳhud ko bhulā baiThe
ye kaisā qarīb aanā ye kaisī be-ḳhudī hai
sho.aloñ se bhī kheleñge tūfānoñ se guzreñge
vāris kā karam ho to jannat bhī hamārī hai
'sāġhar' koī bastā hai mujh meñ merī miTTī meñ
andar se jo aatī hai āvāz ye kisī kī hai
hangama hai kyun barpa waris ne jo mai di hai
jannat mein jo milti hai wo mujh ko pilai hai
huren liye phirti hain jin ke liye gul-daste
allah ki qasam wo waris teri hasti hai
sang dar waris pe sajde se jo sajate hain
un ka hai KHuda un ka un ki hi KHudai hai
wo itne qarib aae hum KHud ko bhula baiThe
ye kaisa qarib aana ye kaisi be-KHudi hai
shoalon se bhi khelenge tufanon se guzrenge
waris ka karam ho to jannat bhi hamari hai
'saghar' koi basta hai mujh mein meri miTTi mein
andar se jo aati hai aawaz ye kisi ki hai
- Book : Surood-e-Asfia (Pg. 136)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.