tamanna hai ki dekhun aankh se wo shakl-e-nurani
tamannā hai ki dekhūñ aañkh se vo shakl-e-nūrānī
nazar jis shakl-e-nūrānī meñ aa.e shakl-e-yazdānī
pata is kā na thā rūh-ul-amīñ se bhī farishta ko
jo kuchh thā vāsta allāh se hazrat kā rūhānī
ḳhudā kī shaan to shān-e-mohammad meñ nazar aa.ī
magar shān-e-mohammad dekhī duniyā bhar meñ lā-sānī
tajallī-gāh hai 'arsh-e-mua.allā us shah-e-dīñ kā
nazar meñ kyā ho us ke vaq’at taḳht-e-sulaimānī
tirā darbār darbār-e-ilāhī kā namūna hai
gadāoñ ko tire darbār se miltī hai sultānī
'ajab kyā hai sharīk-e-'urs hoñ jinn-o-malak aa kar
ki hai 'urs-o-mubārak kHvāja-e-shāh-e-sulaimānī
uThāyā jā۔ūñ maddāhoñ meñ hazrat ke qiyāmat meñ
kiyā karatā huuñ is ummīd par 'hāfiz' ġhazal-ḳhvānī
tamanna hai ki dekhun aankh se wo shakl-e-nurani
nazar jis shakl-e-nurani mein aae shakl-e-yazdani
pata is ka na tha ruh-ul-amin se bhi farishta ko
jo kuchh tha wasta allah se hazrat ka ruhani
KHuda ki shan to shan-e-mohammad mein nazar aai
magar shan-e-mohammad dekhi duniya bhar mein la-sani
tajalli-gah hai 'arsh-e-mualla us shah-e-din ka
nazar mein kya ho us ke waq’at taKHt-e-sulaimani
tera darbar darbar-e-ilahi ka namuna hai
gadaon ko tere darbar se milti hai sultani
'ajab kya hai sharik-e-'urs hon jinn-o-malak aa kar
ki hai 'urs-o-mubarak kHwaja-e-shah-e-sulaimani
uThaya ja۔un maddahon mein hazrat ke qiyamat mein
kiya karata hun is ummid par 'hafiz' ghazal-KHwani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.