ahmiyat rakhte nahin hain gulshan-o-wirawa ab
ahmiyat rakhte nahin hain gulshan-o-wirawa ab
Hafiz Khursheed Alam
MORE BYHafiz Khursheed Alam
ahmiyat rakhte nahīñ haiñ gulshan-o-vīrāva ab
raat din rahtā hai dil meñ yaar kā kāshāna ab
ham to samjhā hī rahe haiñ dil samajhtā hī nahīñ
aap se shāyad samajh jaa.e zarā samjhānā ab
ġhair ke hāthoñ se piine meñ maza aatā nahīñ
hai maza jab ḳhud pilā.e sāqī-e-mai-ḳhāna ab
kaun sī may aap ne us ko pilā.ī hai miyāñ
hosh meñ aane lagā hai aap kā dīvāna ab
yaar ke qadmoñ meñ 'ālam tū luTā de zindagī
is se achchhā ho nahīñ saktā koī nazrāna ab
ahmiyat rakhte nahin hain gulshan-o-wirawa ab
raat din rahta hai dil mein yar ka kashana ab
hum to samjha hi rahe hain dil samajhta hi nahin
aap se shayad samajh jae zara samjhana ab
ghair ke hathon se pine mein maza aata nahin
hai maza jab KHud pilae saqi-e-mai-KHana ab
kaun si may aap ne us ko pilai hai miyan
hosh mein aane laga hai aap ka diwana ab
yar ke qadmon mein 'alam tu luTa de zindagi
is se achchha ho nahin sakta koi nazrana ab
- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 427)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.