Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

rahat-talab-o-talib-e-azar hamin hain

Hafizi Khairabadi

rahat-talab-o-talib-e-azar hamin hain

Hafizi Khairabadi

MORE BYHafizi Khairabadi

    rāhat-talab-o-tālib-e-āzār hamīñ haiñ

    ma.ashūq-e-azal 'āshiq-e-dil-dār hamīñ haiñ

    lailā ke giraftār haiñ lailā bhī hamīñ haiñ

    ham majnūñ haiñ rusvā sar-e-bāzār hamīñ haiñ

    piite haiñ mai-e-sāġhar-e-tauhīd damādam

    momin haiñ hamīñ kāfir ayyār hamīñ haiñ

    ham shāhid-o-mash.hūd haiñ ham āshiq-o-ma.ashūq

    ḳhvāja haiñ hamīñ shiblī-o-attār hamīñ haiñ

    ham nuur haiñ ham tuur haiñ ham jalva-e-haq haiñ

    muusā tarah tālib-e-dīdār hamīñ haiñ

    ham aap mansūr haiñ aur aap anal-haq

    ham shar.a ko sar dete haiñ sardār hamīñ haiñ

    maulā haiñ ġharīboñ ke shahanshāh najaf haiñ

    sultān-e-'arab ‘hāfiz’-o-mukHtār hamīñ haiñ

    rahat-talab-o-talib-e-azar hamin hain

    mashuq-e-azal 'ashiq-e-dil-dar hamin hain

    laila ke giraftar hain laila bhi hamin hain

    hum majnun hain ruswa sar-e-bazar hamin hain

    pite hain mai-e-saghar-e-tauhid damadam

    momin hain hamin kafir ayyar hamin hain

    hum shahid-o-mashhud hain hum aashiq-o-mashuq

    KHwaja hain hamin shibli-o-attar hamin hain

    hum nur hain hum tur hain hum jalwa-e-haq hain

    musa ki tarah talib-e-didar hamin hain

    hum aap hi mansur hain aur aap anal-haq

    hum shara ko sar dete hain sardar hamin hain

    maula hain gharibon ke shahanshah najaf hain

    sultan-e-'arab ‘hafiz’-o-mukHtar hamin hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now