Sufinama

hai ehsas-e-KHudi sab ko koi momin ho ya kafir

Maikash Akbarabadi

hai ehsas-e-KHudi sab ko koi momin ho ya kafir

Maikash Akbarabadi

MORE BYMaikash Akbarabadi

    hai ehsās-e-ḳhudī sab ko koī momin ho kāfir

    chalā sab par tirā jaadū paḌhā sab ne tirā mantar

    yahāñ maiñ hiila jo dil se ziyāda baat be-qābū

    vahāñ vo mudda'ā fahm-o-sukHan chain-o-sukHan-parvar

    hai barg-e-gul-e-kHūbī-e-ziyā-e-sham'-e-mahbūbī

    magar kyā koī shai dekhī hai ne dil se nāzuk-tar

    jafā meñ mehar ke aa.eñ vafā ko jaur se taz.īñ

    sharārat sharm se rañgīñ hayā meñ shoḳhiyāñ muzmar

    diyā hai muddatoñ meñ 'ishq ne vo dil mujhe jo hai

    tirī tambīh se shādāñ tirī taskīn se muztar

    mirī rindī qashqa hai jabīn-e-zohd par 'maikash'

    ki ho kar ḳhāk-e-mai-ḳhāna rahā maiñ 'izzat-e-mimbar

    hai ehsas-e-KHudi sab ko koi momin ho ya kafir

    chala sab par tera jadu paDha sab ne tera mantar

    yahan main hila jo dil se ziyaada baat be-qabu

    wahan wo mudda'a fahm-o-sukHan chain-o-sukHan-parwar

    hai tu barg-e-gul-e-kHubi-e-ziya-e-sham'-e-mahbubi

    magar kya koi shai dekhi hai tu ne dil se nazuk-tar

    jafa mein mehar ke aaen wafa ko jaur se tazin

    shararat sharm se rangin haya mein shoKHiyan muzmar

    diya hai muddaton mein 'ishq ne wo dil mujhe jo hai

    teri tambih se shadan teri taskin se muztar

    meri rindi ka qashqa hai jabin-e-zohd par 'maikash'

    ki ho kar KHak-e-mai-KHana raha main 'izzat-e-mimbar

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now