hai jo diwana kisi ka wahi farzana hai
hai jo dīvāna kisī kā vahī farzāna hai
jis ne muñh pher liyā ishq se dīvāna hai
roktā huuñ use maiñ ishq se ruktā hī nahīñ
maiñ to huuñ hosh meñ par dil mirā dīvāna hai
ishq-bāzī meñ kisī kī bhī nahīñ hai taḳhsīs
sham.a jal jaane de jis ko vahī parvāna hai
jaan bach saktī hai kyuuñ kar mirī us zālim se
hai vo af'ī-e-siyaih jo mirā ham-ḳhāna hai
ab na rishta hai kasī se na mohabbat us ko
jo tirā ho gayā duniyā se vo begāna ho gayā
apne dil se tū bahut duur rahā kar 'akbar'
maiñ use jāntā huuñ ḳhuub vo dīvāna hai
hai jo diwana kisi ka wahi farzana hai
jis ne munh pher liya ishq se diwana hai
rokta hun use main ishq se rukta hi nahin
main to hun hosh mein par dil mera diwana hai
ishq-bazi mein kisi ki bhi nahin hai taKHsis
shama jal jaane de jis ko wahi parwana hai
jaan bach sakti hai kyun kar meri us zalim se
hai wo af'i-e-siyaih jo mera ham-KHana hai
ab na rishta hai kasi se na mohabbat us ko
jo tera ho gaya duniya se wo begana ho gaya
apne dil se tu bahut dur raha kar 'akbar'
main use jaanta hun KHub wo diwana hai
- Book : Jazbaat-e-Akbar (Pg. 156)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.