hai sharf hum ko ki hain us dar ke KHana-zad hum
hai sharf ham ko ki haiñ us dar ke ḳhāna-zād ham
is ġhulāmī se na hoñ yā rab kabhī āzād ham
josh-e-āhañgī na rañg-e-bāl-o-par kuchh bhī nahīñ
haiñ giraftār-e-qafas kis baat par sayyād ham
mar ga.e hasrat meñ āzādī ke par chhoTe nahīñ
kyā qafas hī ke liye paidā hue sayyād ham
ham agar kahlā.eñ us mualā-e-'ālam ke ġhulām
shukr meñ us ke kareñ lākhoñ ġhulām āzād ham
’ahd se majnūñ ke baḌh kar 'āshnā' ke ’ahd meñ
dekhte haiñ kHāndān-e-'ishq ko ābād ham
hai sharf hum ko ki hain us dar ke KHana-zad hum
is ghulami se na hon ya rab kabhi aazad hum
josh-e-ahangi na rang-e-baal-o-par kuchh bhi nahin
hain giraftar-e-qafas kis baat par sayyaad hum
mar gae hasrat mein aazadi ke par chhoTe nahin
kya qafas hi ke liye paida hue sayyaad hum
hum agar kahlaen us muala-e-'alam ke ghulam
shukr mein us ke karen lakhon ghulam aazad hum
’ahd se majnun ke baDh kar 'ashna' ke ’ahd mein
dekhte hain kHandan-e-'ishq ko aabaad hum
- Book : Al-Mujeeb, Phulwari Sharif (Pg. 30)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.