Sufinama

hai taqaza-e-mohabbat na uThe sar aastan se

Pandit Nayab Warsi

hai taqaza-e-mohabbat na uThe sar aastan se

Pandit Nayab Warsi

MORE BYPandit Nayab Warsi

    hai taqāza-e-mohabbat na uThe sar āstāñ se

    jahāñ aql tak na pahuñche maiñ guzar gayā vahāñ se

    hai jānashīn-e-haidar hai markaz-e-saḳhāvat

    tu ne kis qadar navāzā mujhe lutf-e-be-karāñ se

    mujhe hai apnī chāhat ye karam ye mehrbānī

    maiñ adā-e-shukr terā karūñ kaun zabāñ se

    vahī ḳhuub jāntā hai merā maqsad-e-tamannā

    na uThā.e koī chilman mere un ke darmiyāñ se

    mujhe jab se ho ga.ī hai dar-e-yār se mohabbat

    mujhe dekhtī hai duniyā ab nigāh-e-bad-gumāñ se

    maiñ 'nāyāb-vārsī' huuñ ki sarāpā rāz-e-ulfat

    merā haal hogā zāhir kabhī marg-e-nā-gahāñ se

    hai taqaza-e-mohabbat na uThe sar aastan se

    jahan aql tak na pahunche main guzar gaya wahan se

    tu hai jaanashin-e-haidar tu hai markaz-e-saKHawat

    tu ne kis qadar nawaza mujhe lutf-e-be-karan se

    mujhe di hai apni chahat ye karam ye mehrbani

    main ada-e-shukr tera karun kaun si zaban se

    wahi KHub jaanta hai mera maqsad-e-tamanna

    na uThae koi chilman mere un ke darmiyan se

    mujhe jab se ho gai hai dar-e-yar se mohabbat

    mujhe dekhti hai duniya ab nigah-e-bad-guman se

    main 'nayab-warsi' hun ki sarapa raaz-e-ulfat

    mera haal hoga zahir kabhi marg-e-na-gahan se

    Source :
    • Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 210)
    • Publication : Fine Books Printers (1993)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now