haif to chamka na dagh us dil ke rah kar aag mein
haif to chamkā na daaġh us dil ke rah kar aag meñ
ko.elā to haañ dahak jaatā hai aksar aag meñ
ishq kī daulat dil-e-muztar kā hai ghar aag meñ
kyuuñ na ho iksīr paara kushta ho gar aag meñ
tan pe gul khā kar huuñ maiñ sarv-e-charāġhāñ ishq meñ
ai chanār-e-bāġh apnī tū jalā kar aag meñ
ā.īne meñ dekh Tuk ḳhāl-e-lab-e-gulnār ko
mo.ajaze se husn ke chamke hai aḳhtar aag meñ
chashm-e-tar laḳht-e-dil-e-sozāñ se aañsū ko bujhā
tifl-e-abtar Daal de hai haath aksar haath meñ
mujmir-e-ātish hamārā sīna-e-pur-dāġh hai
yuuñ hai dil mahv-e-tamāshā ho ke ḳhush-tar aag meñ
dekhte the taḳhta-e-gul-hā-e-ātish kī bahār
jis tarah yaaro ḳhalīlullāh payambar aag meñ
ahl-e-jauhar kyā ajab hai huuñ jo sargarm-e-sitam
āhan-e-faulād kā bantā hai ḳhanjar aag meñ
mushaf-e-ruḳhsār-e-jānāñ ke hai bose kā sabab
jo nahīñ jaltī hai to ai zulf-e-kāfir aag meñ
varna har zunnār-dār-e-hindū-e-ātish-parast
āqibat dekhā hai ye phuñktā hai mar kar aag meñ
huuñ giraftār-e-qafas ai shola-e-āvāz dekh
mat jalā denā kahīñ tu baal aur par aag meñ
juuñ juuñ rotā huuñ bhaḌaktī ātish-e-dil hai do-chand
kār-e-roġhan ki na ashk-e-dīda-e-tar aag meñ
ai dil us chāh-e-zaqan meñ gir ke tū pairā kiyā
be-tāmmul kuud paḌte haiñ dilāvar aag meñ
ātishīñ ruḳh par tire dekhe araq-ālūd ḳhat
jis ne gar sabza kabhū dekhā na ho tar aag meñ
kūcha-e-dildār tū firdaus hai paik-e-sabā
uḌ ke pahuñche nāma-bar merā kabūtar aag meñ
par karāmat hai qabā-e-surḳh meñ terī kamar
varna mū sābit nahīñ rahtā hai dilbar aag meñ
ghar se apne ho ke muztar dauḌtā vo sho.ala-ḳhū
maiñ jalātā naqsh jab gar koī likh kar aag meñ
gar pilā duuñ zāhidā tujh ko mai-e-do-e-ātisha
pheñk de tū yak-qalam taqvā kā daftar aag meñ
ġharq āb-e-sharm ho sidd-e-sikandar dekh kar
reḳhte kā ghar banā tū vo suḳhan-var aag meñ
tan tab-e-ġham se tanūr-e-garm hai kis se kahūñ
kaun paḌtā hai kisī kī dīda-e-tar aag meñ
daaġh se phuktā jigar hai ātish-e-hijrāñ se dil
apnī apnī lau meñ jalte haiñ barābar aag meñ
fil-haqīqat hai ki sarrāfān-e-bāzārī 'nasīr'
sīm-o-zar ko mol lete haiñ tapā kar aag meñ
haif to chamka na dagh us dil ke rah kar aag mein
koela to han dahak jata hai aksar aag mein
ishq ki daulat dil-e-muztar ka hai ghar aag mein
kyun na ho iksir para kushta ho gar aag mein
tan pe gul kha kar hun main sarw-e-charaghan ishq mein
ai chanar-e-bagh apnī tu jala kar aag mein
aaine mein dekh Tuk KHal-e-lab-e-gulnar ko
moajaze se husn ke chamke hai aKHtar aag mein
chashm-e-tar laKHt-e-dil-e-sozan se aansu ko bujha
tifl-e-abtar Dal de hai hath aksar hath mein
mujmir-e-atish hamara sina-e-pur-dagh hai
yun hai dil mahw-e-tamasha ho ke KHush-tar aag mein
dekhte the taKHta-e-gul-ha-e-atish ki bahaar
jis tarah yaro KHalilullah payambar aag mein
ahl-e-jauhar kya ajab hai hun jo sargarm-e-sitam
aahan-e-faulad ka banta hai KHanjar aag mein
mushaf-e-ruKHsar-e-jaanan ke hai bose ka sabab
jo nahin jalti hai to ai zulf-e-kafir aag mein
warna har zunnar-dar-e-hindu-e-atish-parast
aaqibat dekha hai ye phunkta hai mar kar aag mein
hun giraftar-e-qafas ai shola-e-awaz dekh
mat jala dena kahin tu baal aur par aag mein
jun jun rota hun bhaDakti aatish-e-dil hai do-chand
kar-e-roghan ki na ashk-e-dida-e-tar aag mein
ai dil us chah-e-zaqan mein gir ke tu paira kiya
be-tammul kud paDte hain dilawar aag mein
aatishin ruKH par tere dekhe araq-alud KHat
jis ne gar sabza kabhu dekha na ho tar aag mein
kucha-e-dildar tu firdaus hai paik-e-saba
uD ke pahunche nama-bar mera kabutar aag mein
par karamat hai qaba-e-surKH mein teri kamar
warna mu sabit nahin rahta hai dilbar aag mein
ghar se apne ho ke muztar dauDta wo shoala-KHu
main jalata naqsh jab gar koi likh kar aag mein
gar pila dun zahida tujh ko mai-e-do-e-atisha
phenk de tu yak-qalam taqwa ka daftar aag mein
gharq aab-e-sharm ho sidd-e-sikandar dekh kar
reKHte ka ghar bana tu wo suKHan-war aag mein
tan tab-e-gham se tanur-e-garm hai kis se kahun
kaun paDta hai kisi ki dida-e-tar aag mein
dagh se phukta jigar hai aatish-e-hijran se dil
apnī apnī lau mein jalte hain barabar aag mein
fil-haqiqat hai ki sarrafan-e-bazari 'nasir'
sim-o-zar ko mol lete hain tapa kar aag mein
- Book : Kulliyat-e-Shah Naseer Edited: Tanwir Ahmad Alvi (Pg. 297)
- Author : Shah Naseer
- Publication : Majlis-e-Taraqqi Adab, Lahur (1971)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.