hain shauq-e-zabh mein aashiq taDapte murgh-e-bismil se
hain shauq-e-zabh mein aashiq taDapte murgh-e-bismil se
Shah Akbar Danapuri
MORE BYShah Akbar Danapuri
haiñ shauq-e-zab.h meñ āshiq taḌapte murġh-e-bismil se
ajal tū hī zarā kah aanā ye paiġhām qātil se
qayāmat ho ga.ī barpā tah-o-bālā huā aalam
lagī vo aag duniyā meñ hamārī sozish-e-dil se
tasavvur jam gayā jis dam to phir vo kyā ukhaḌtā hai
na hogī mahv-e-sūrat us kī ab ā.īna-e-dil se
jise dekhā musaḳhḳhar kar liyā tū ne use kāfir
tirī āñkhoñ kā jaadū kam nahīñ sahar-e-bābul se
fanā ke ba.ad bhī baaqī rahegā shor-o-zor apnā
nahīñ jaane kā mar kar bhī hamārā valvala dil se
zakāt-e-husn ik bosa in āñkhoñ kā ināyat ho
bar aa.egī mirī hājat to niklegī duā dil se
sivā tere nahīñ matlūb koī chiiz duniyā meñ
hai matlab jaañ se kis ko kise hai mudda.ā dil se
sitam-kash maiñ huuñ aur vo nāz-parvarda nazākat meñ
unheñ kyā vāqafiyyat ho mirī betābī-e-dil se
koī rashk-e-gulistāñ hai to koī ġhairat-e-gulshan
hue kyā kyā hasīñ gulcharra paidā āb-o-gil se
hai us se raushanī-e-bazm tujh se raunaq-e-ālam
tire ruḳh ko nahīñ ai maah nisbat sham-e-mahfil se
sadā-e-zañg se naala agar majnūñ kā paidā ho
ajab kyā gir paḌe ġhash khā ke lailā apne mahmil se
ba-juz āvāz zanjīr-e-girāñ kuchh ḳhush nahīñ aatā
yahāñ tak bhar ga.e haiñ kaan āvāz-e-salāsil se
hain shauq-e-zabh mein aashiq taDapte murgh-e-bismil se
ajal tu hi zara kah aana ye paigham qatil se
qayamat ho gai barpa tah-o-baala hua aalam
lagi wo aag duniya mein hamari sozish-e-dil se
tasawwur jam gaya jis dam to phir wo kya ukhaDta hai
na hogi mahw-e-surat us ki ab aaina-e-dil se
jise dekha musaKHKHar kar liya tu ne use kafir
teri aankhon ka jadu kam nahin sahar-e-babul se
fana ke baad bhi baqi rahega shor-o-zor apna
nahin jaane ka mar kar bhi hamara walwala dil se
zakat-e-husn ek bosa in aankhon ka inayat ho
bar aaegi meri hajat to niklegi dua dil se
siwa tere nahin matlub koi chiz duniya mein
hai matlab jaan se kis ko kise hai muddaa dil se
sitam-kash main hun aur wo naz-parwarda nazakat mein
unhen kya waqafiyyat ho meri betabi-e-dil se
koi rashk-e-gulistan hai to koi ghairat-e-gulshan
hue kya kya hasin gulcharra paida aab-o-gil se
hai us se raushani-e-bazm tujh se raunaq-e-alam
tere ruKH ko nahin ai mah nisbat sham-e-mahfil se
sada-e-zang se nala agar majnun ka paida ho
ajab kya gir paDe ghash kha ke laila apne mahmil se
ba-juz aawaz zanjir-e-giran kuchh KHush nahin aata
yahan tak bhar gae hain kan aawaz-e-salasil se
- Book : Shah Akbar Danapuri Hayat aur Shaeri (Pg. 75)
- Author : Talha Rizvi Barq
- Publication : Label Litho Press, Patna (1985)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.