jalwa-ara kaun be-parda ye parda-posh hai
jalva-ārā kaun be-parda ye pardā-posh hai
zarra zarra bazm-e-hastī kā jo ab mad.hosh hai
aap kī tasvīr har-dam dil se ham-āġhosh hai
ya.anī vo behosh huuñ qurbān jis par hosh hai
rahmatoñ vaale se Takkar hai gunahgāroñ kī aaj
ham idhar ḳhāmosh haiñ aur vo udhar pur-josh hai
be-ḳhabar hone pe bhī hai saare aalam kī ḳhabar
aisī be-hoshī meñ mastānoñ ko aisā hosh hai
ham balā-noshoñ kī himmat ko tū ai saaqī na pūchh
donoñ-ālam sar pe rakh le jaa.eñ itnā josh hai
tah ko un gahrā.iyoñ kī paa.e kyā ġhavvās-e-aql
rūd-bār-e-ishq kā har qatra qulzum-nosh hai
jaane vaale phir unhīñ mastī bharī āñkhoñ se dekh
log kahte haiñ tire bīmār ko phir hosh hai
allāh allāh ik zamāna hai ḳharāb-e-ārzū
is nigāh-e-mast par sadqe matā-e-hosh hai
vaah kyā hairat-fazā manzar hai dil kī bazm kā
jalva-e-hairāñ se ab 'hairat' jo ham-āġhosh hai
husn vāloñ meñ bhī ab to ho rahe haiñ tazkire
sun rahe haiñ āj-kal 'hairat' kafan-bardosh hai
jalwa-ara kaun be-parda ye parda-posh hai
zarra zarra bazm-e-hasti ka jo ab madhosh hai
aap ki taswir har-dam dil se ham-aghosh hai
yani wo behosh hun qurban jis par hosh hai
rahmaton wale se Takkar hai gunahgaron ki aaj
hum idhar KHamosh hain aur wo udhar pur-josh hai
be-KHabar hone pe bhi hai sare aalam ki KHabar
aisi be-hoshi mein mastanon ko aisa hosh hai
hum bala-noshon ki himmat ko tu ai saqi na puchh
donon-alam sar pe rakh le jaen itna josh hai
tah ko un gahraiyon ki pae kya ghawwas-e-aql
rud-bar-e-ishq ka har qatra qulzum-nosh hai
jaane wale phir unhin masti bhari aankhon se dekh
log kahte hain tere bimar ko phir hosh hai
allah allah ek zamana hai KHarab-e-arzu
is nigah-e-mast par sadqe mata-e-hosh hai
wah kya hairat-faza manzar hai dil ki bazm ka
jalwa-e-hairan se ab 'hairat' jo ham-aghosh hai
husn walon mein bhi ab to ho rahe hain tazkire
sun rahe hain aaj-kal 'hairat' kafan-bardosh hai
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 128)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.