dil mein jo rahte the ummid ki duniya ho kar
dil meñ jo rahte the ummīd kī duniyā ho kar
vo chale jaate haiñ kyuuñ dāġh-e-tamannā ho kar
merā ghar ghar nahīñ tum bin ye siyah-ḳhāna hai
ab siyah-ḳhāne meñ aa jaao ujālā ho kar
ḳhud batā dījiye ye din kis ke sahāre pe kaTeñ
aap jab chhoḌ ga.e dil kā sahārā ho kar
kashtī-e-umr mirī ġham ke hai tūfāñ meñ ghirī
khīñch lo ab use dariyā kā kinārā ho kar
hosh uḌe jaate haiñ furqat meñ ba-rañg-e-'hairat'
dil ko ā.īna banā barq-e-tajallā ho kar
dil mein jo rahte the ummid ki duniya ho kar
wo chale jate hain kyun dagh-e-tamanna ho kar
mera ghar ghar nahin tum bin ye siyah-KHana hai
ab siyah-KHane mein aa jao ujala ho kar
KHud bata dijiye ye din kis ke sahaare pe kaTen
aap jab chhoD gae dil ka sahaara ho kar
kashti-e-umr meri gham ke hai tufan mein ghiri
khinch lo ab use dariya ka kinara ho kar
hosh uDe jate hain furqat mein ba-rang-e-'hairat'
dil ko aaina bana barq-e-tajalla ho kar
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 129)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.