jab se dekhi hai meri jaan humne surat aap ki
jab se dekhi hai meri jaan humne surat aap ki
Haji Abdullah Akbari
MORE BYHaji Abdullah Akbari
jab se dekhī hai mirī jaañ ham ne sūrat aap kī
ho ga.ī hai jāguzīñ dil meñ mohabbat aap kī
ik dam meñ kar liyā qabza dil-e-ushshāq par
hai ajab chaltā huā jaadū mohabbat aap kī
hai bahut dilchaspī mere dil se terī zaat ko
ghar banā baiThī hai mere dil meñ sūrat aap kī
ashk jab jaarī hue āñkhoñ se dariyā bah ga.e
josh-zan hai ye mere dil meñ mohabbat aap kī
mast kar detā hai dil ko nām-e-nāmī aap kā
yā alī maiñ kyā kahūñ kyā hai mohabbat aap kī
aap kī duurī meñ merī jaan jā.egī zarūr
hai qazā mere liye ai jān-e-furqat aap kī
is safā-e-ruḳh ne ā.īna banāyā hai mujhe
merī sūrat meñ nazar aatī hai sūrat aap kī
jab se dekhi hai meri jaan hum ne surat aap ki
ho gai hai jaguzin dil mein mohabbat aap ki
ek dam mein kar liya qabza dil-e-ushshaq par
hai ajab chalta hua jadu mohabbat aap ki
hai bahut dilchaspi mere dil se teri zat ko
ghar bana baiThi hai mere dil mein surat aap ki
ashk jab jari hue aankhon se dariya bah gae
josh-zan hai ye mere dil mein mohabbat aap ki
mast kar deta hai dil ko nam-e-nami aap ka
ya ali main kya kahun kya hai mohabbat aap ki
aap ki duri mein meri jaan jaegi zarur
hai qaza mere liye ai jaan-e-furqat aap ki
is safa-e-ruKH ne aaina banaya hai mujhe
meri surat mein nazar aati hai surat aap ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.