tum wada to kar lete ho ifa nahin karte
tum va.ada to kar lete ho iifā nahīñ karte
jo qaul ke pāband haiñ aisā nahīñ karte
un se sitam-o-jaur kā shikvā nahīñ karte
sharminda hoñ vo ham ye gavārā nahīñ karte
nākāmī-e-taqdīr se aajiz haiñ yahāñ tak
ham maut kī bhī apnī tamannā nahīñ karte
ab apnī nigāhoñ pe bhī ye rashk hai ham ko
vo sāmne haiñ aur nazārā nahīñ karte
haadī kā burā haal hai kyā ishq meñ dekho
achchhe haiñ jo achchhoñ kī tamannā nahīñ karte
tum wada to kar lete ho ifa nahin karte
jo qaul ke paband hain aisa nahin karte
un se sitam-o-jaur ka shikwa nahin karte
sharminda hon wo hum ye gawara nahin karte
nakaami-e-taqdir se aajiz hain yahan tak
hum maut ki bhi apni tamanna nahin karte
ab apni nigahon pe bhi ye rashk hai hum ko
wo samne hain aur nazara nahin karte
hadi ka bura haal hai kya ishq mein dekho
achchhe hain jo achchhon ki tamanna nahin karte
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 330)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.