kali ki KHanda-labi gul ki mushq sina-dari
kalī kī ḳhanda-labī gul kī mushq sīna-darī
tamām husn fusūñ-kār kī karishmā-garī
qabā-e-sabz milī hai hinā kī surḳhī ko
bayāz-e-lāla ko baḳhshī ga.ī hinā-jigar
hai gul ke āriz-e-rañgīñ pe qatra shabnam
jabīn-e-sub.h pe jaise sitāra-e-saharī
hai lāla-gūñ shafaq shaam se bahār kā ruḳh
mahv-o-nujūm ne lailā-e-shab kī maañg bharī
ye saare sho.abada haaye tilism kuchh bhī nahīñ
dar asl hai mire zauq-e-nazar kī dar-ba-darī
kali ki KHanda-labi gul ki mushq sina-dari
tamam husn fusun-kar ki karishma-gari
qaba-e-sabz mili hai hina ki surKHi ko
bayaz-e-lala ko baKHshi gai hina-jigar
hai gul ke aariz-e-rangin pe qatra shabnam
jabin-e-subh pe jaise sitara-e-sahari
hai lala-gun shafaq sham se bahaar ka ruKH
mahw-o-nujum ne laila-e-shab ki mang bhari
ye sare shoabada haye tilism kuchh bhi nahin
dar asl hai mere zauq-e-nazar ki dar-ba-dari
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 65)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.