hum apne mein tumko sanam dekhte hain
ham apne meñ tum ko sanam dekhte haiñ
sarāpā tumhīñ-tum ko ham dekhte haiñ
kuchh apne hī ko tum meñ gum-shud na paayā
tumheñ bhī to apne meñ ham dekhte haiñ
taḌap kar ye dilbar meñ rah jaatā hai
pareshāñ jo zulf-e-alam dekhte haiñ
mai-e-mehr meñ terī be-ḳhud haiñ ham
ḳhum-e-dil meñ josh-e-karam dekhte haiñ
duī se jo vā chashm-e-hairat huī
to īñ-āñ ko bhī kaladam dekhte haiñ
har ik shai meñ ho aur har haal meñ
na ho jis meñ tum vo adam dikhte haiñ
tan-o-jān-o-dil jumla-harkāt meñ
mire dil-rubā tum ko ham dekhte haiñ
kahūñ kyā maiñ 'mardāñ' nahīñ jā-e-guft
jo milne se un ke ye ham dekhte haiñ
hum apne mein tum ko sanam dekhte hain
sarapa tumhin-tum ko hum dekhte hain
kuchh apne hi ko tum mein gum-shud na paya
tumhein bhi to apne mein hum dekhte hain
taDap kar ye dilbar mein rah jata hai
pareshan jo zulf-e-alam dekhte hain
mai-e-mehr mein teri be-KHud hain hum
KHum-e-dil mein josh-e-karam dekhte hain
dui se jo wa chashm-e-hairat hui
to in-an ko bhi kaladam dekhte hain
har ek shai mein ho aur har haal mein
na ho jis mein tum wo adam dikhte hain
tan-o-jaan-o-dil jumla-harkat mein
mere dil-ruba tum ko hum dekhte hain
kahun kya main 'mardan' nahin ja-e-guft
jo milne se un ke ye hum dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.