Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ġham-e-jigar-shikan o dard jāñ-sitāñ dekhā

Meer Muhammad Bedar

ġham-e-jigar-shikan o dard jāñ-sitāñ dekhā

Meer Muhammad Bedar

ġham-e-jigar-shikan o dard jāñ-sitāñ dekhā

tumhāre ishq meñ kyā kyā na mehrbāñ dekhā

har ek majlis-e-ḳhūbāñ meñ dil-sitāñ dekhā

na koī tujh par ai āfat-e-jahāñ dekhā

maiñ vo asiir huuñ jin ne ki dāġh-e-yās sivā

na sair-e-lāla-sitāñ na gulsitāñ dekhā

jis aañkh meñ na samātī thī buuñd aañsū

ab us ne ġham meñ tire sail-e-ḳhūñ ravāñ dekhā

na kohkan ne vo dekhā kabhī na majnūñ ne

tumhāre ishq meñ jo ham ne ai butāñ dekhā

hazār garche haiñ bīmār terī āñkhoñ ke

par un meñ koī bhalā mujh nā-tavāñ dekhā

maiñ vo marīz huuñ pyāre ki jin ne muddat se

sivā-e-dard na ārām yak-zamāñ dekhā

kiyā savāl maiñ 'bedār' se ki ai mahjūr

kabhī bhī ne bhalā vasl-e-dil-sitāñ dekhā

mufāriqat meñ kyā umr khoī merī tarah

ki ishq meñ dil-e-ġham-ghīñ na shādmāñ dekhā

ye sun ke rone lagā aur ba.ad rone ke

kahā na pūchho jo kuchh maiñ ne ai miyāñ dekhā

firāq-e-yār jafā-e-shamātat-e-a.adā

ġham-e-dil o sitam-e-pand-e-nāsehāñ dekhā

na paa.ī zarra bhī us ashk-e-garm tāsīr

na ek dam asar-e-nāla-o-fuġhāñ dekhā

jahāñ meñ vasl hai suntā huuñ muddatoñ se va-lek

sivā-e-nām na us kahīñ nishāñ dekhā

ġham-e-jigar-shikan o dard jāñ-sitāñ dekhā

tumhāre ishq meñ kyā kyā na mehrbāñ dekhā

har ek majlis-e-ḳhūbāñ meñ dil-sitāñ dekhā

na koī tujh par ai āfat-e-jahāñ dekhā

maiñ wo asir huñ jin ne ki dāġh-e-yās siwā

na sair-e-lāla-sitāñ na gulsitāñ dekhā

jis aañkh meñ na samātī thī buñd aañsū

ab us ne ġham meñ tere sail-e-ḳhūñ rawāñ dekhā

na kohkan ne wo dekhā kabhī na majnūñ ne

tumhāre ishq meñ jo hum ne ai butāñ dekhā

hazār garche haiñ bīmār terī āñkhoñ ke

par un meñ koī bhalā mujh nā-tawāñ dekhā

maiñ wo marīz huñ pyāre ki jin ne muddat se

siwā-e-dard na ārām yak-zamāñ dekhā

kiyā sawāl maiñ 'bedār' se ki ai mahjūr

kabhī bhī ne bhalā wasl-e-dil-sitāñ dekhā

mufāriqat meñ kyā umr khoī merī tarah

ki ishq meñ dil-e-ġham-ghīñ na shādmāñ dekhā

ye sun ke rone lagā aur baad rone ke

kahā na pūchho jo kuchh maiñ ne ai miyāñ dekhā

firāq-e-yār jafā-e-shamātat-e-adā

ġham-e-dil o sitam-e-pand-e-nāsehāñ dekhā

na paī zarra bhī us ashk-e-garm tāsīr

na ek dam asar-e-nāla-o-fuġhāñ dekhā

jahāñ meñ wasl hai suntā huñ muddatoñ se wa-lek

siwā-e-nām na us kahīñ nishāñ dekhā

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now